Ek Anjaan ko Mai Jaan-e-Tamanna Samjhu
Sab Kahen Gair Hai Par Main Usse Apna Samjhu
Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhu
Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Jo Ruke
Main Samandar ko Bhi Sau Saal Ka Pyasa Samjhu
Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Me
Raunak-e-Bazm Kisi Ko Jo Uss Ke Ilaawa Samjhu
Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
Main Usse Chaand Saa,Yaa Chaand Ko Uss Sa Samjhon
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.