Tumhara Khat Mila Jaana

Tmhara Khat Mila Jaana (audio link)


Tumhara khat mila jana

woh jis mein tumne pucha hai.

k ab halaat kaisay hain?

mere din rat kaisay hain?

mehrbani tumhari hai !

k tum ne is tarah muj se

mere halaat poche hain

mere din raat poche hain

tumhe sub kuch bata doon ge

mujhe itna bata do k...

kabhi saagar kinare per

kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki

kinare tak to lati hain

magar phir chor jati hain

mere halaat aisay hain,

mere din raat aisay hain.

Tumhain Aik Phool Dena Hai

Tmhen aik Phool Dena hai (audio link)


Bataao --
Kahan Milogi Tum...??

Tumhein Ek Phool Dena Hai..!!
Tum Sey Ek Ehad Lena Hai.

Tumhein Imaan Kehna Hai,
Tumhain Dil, Dharkan, Jaan Kehna Hai.

Jo Juda Karney Ki Hain Sazishein,
Unhein Bejaan Karna Hai.

Haan....!!!
Tum Sey Bahot Kuch Kehna Hai.

Batao...!!!
Kya Mohabbat Mein Ek Phool Bahut Hoga..??

Ya...!!!
Phir Tum Chaand Maangogi..??

Ya...!!!
Phir Meri Jaan Maangogi..??

Ya...!!!
Humesha Ka Tum Sath Maangogi..??

Ya...!!!
Phir Hijr Ka Aazaab Maangogi..??

Batao...!!!
Kahan Milogi Tum...??
Tumhein Ek Phool Dena Hai...

Woh Firaq

woh firaq (audio link)

vo firaaq aur wo visaal kahaaN
vo shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise
zauq-e-nazzaaraa-e-jamaal kahaaN

(kaarobaar = business, zauq = delight/joy, jamaal = beauty)

dil to dil vo dimaaG bhii na rahaa
shor-e-saudaa-e-Khat-o-Khaal kahaaN

thii wo ik shakhs ke tasavvur se
ab vo raaNnaaii-e-Khayaal kahaaN

(tasavvur = imagination, raaNnaaii-e-Khayaal = tender thoughts)

aisaa aasaaN nahiin lahuu ronaa
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN

(haal = spiritual ecstasy)

hamase chuuTaa qimaar_Khaanaa-e-ishq
vaaN jo jaaeN girah mein maal kahaaN

(qimaar_Khaanaa = casino, girah = knot/joint)

fikr-e-duniyaa me.n sar khapaataa huu.N
maiN kahaaN aur ye vabaal kahaaN

(vabaal = calamity)

muzamahil ho gaye quvaa 'Ghalib'
wo anaasir mein aitadaal kahaaN

(muzamahil = lethargic, quvaa = powers, anaasiir = elements, aitadaal = moderation)

Ye Baatain Jhooti

Ye na thi hamari

ye na thi hmari qismat (audio link)


ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
to live on your promise is to make my life a lie
ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda
from your frailty I learnt that the promise was delicate
kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota
it would not stand broken had you been determined

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
someone ask me about your half-drawn arrow
ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota
would i even feel this pain if it had pierced my heart

ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
what kind of friendship is this, that friends are now advisers
koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota
someone should ease my pain, someone sympathize with me

rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
from every nerve drips blood without restraint
jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
as if that which you think is anguish is but a spark

gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
threatening as love is, there is no deliverance from the heart
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
if not the torment of love, it would be the torment of life

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
whom shall I narrate the pangs of these evenings of sorrow
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
i would have not resented this death, had it come only once

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
that I died and was disgraced, why was I not just drowned
na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota
never was there a funeral, no where was a tomb erected

usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa
who can see him since his Oneness is without peer
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota
even the scent of his duality would be an introduction

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib'!
this mysticism, these statements of yours Ghalib
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota
you would be a saint, if only you were not inebriated

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll