Teri Zat Se Nikalna Chahta Hai

Teri Zat Se Nikalna Chahta Hai
Ye Dariya Rukh Badalana Chahata Hai

Vo Sapna Jis Ki Surat Hi Nahi Hai
Meri Ankhon Main Chalna Chahta Hai

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Ta’ajjub
K Suraj Bhi To Dhalna Chahta Hai

Nashist-E-Dard Badali Hai To Ab Dil
Zara Pahlu Badalna Chahta Hai

Mujhe Bhi Samana Hai Karbala Ka
Mera Sar Bhi Uchalna Chahta Hai

Nahi Hai Tarjuman-E-Gam Ye Ansu
Ye Pani Ab Ubalna Chahta Hai

Tabassum Zer-E-Lab Kahta Hai ‘Amjad’
Koi Jazba Machalna Chahta Hai

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai
Kisi K Sath Sahi Vo Nazar To Aya Hai

Karun Shikayaten Takta Rahun K Pyar Karun
Gaye Bahar Ki Surat Vo Laut Aya Hai

Vo Samane Tha Magar Ye Yaqin Na Ata Tha
Vo Ap Hai K Meri Khvahishon Ka Saya Hai

Azab Hup K Kaise Hain Barishen Kya Hain
Fasil-E-Jism Giri Jab To Hosh Aya Hai

Main Kya Karunga Agar Vo Na Mil Saka ‘Amjad’
Abhi Abhi Mere Dil Main Khayal Aya Hai

Kuch Aise Ghao Bhi Hote Hain

Kuch Aise Ghao Bhi Hote Hain
Jinhen Zakhmi Ap Nahi Dhote
Bin Roye Huye Ansuon Ki Tarah
Sine Main Chupa K Rakhte Hain
aur sari umr nahi rote

Ninden bhi muhaiya hoti hain
Sapne Bhi Dur Nahi Hote
Kyun Phir Bhi Jagte Rahte Hain
kyun sari rat nahi sote

Ab kis se kahen ai jan-e-vafa
Ye Ahal-E-Vafa Kis Ag Main Jalte Rahte Hain
Kyun Bujh K Rakh Nahi Hote

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll