Un se keh do

Un se keh do woh mujhe Pagal na kahein FARAZ! 
Ammi kehti hain jo kehta hai wo khud hi hota hai

meri khushi ke lamhe

meri khushi ke lamhe kis kadar mukhtasar hain faraz
abi mujra shuru hi huwa tha k chaapa par gaya!!

Hamari zindagi to

Hamari zindagi to andheron mien guzarti hai FARAZ

Wo or log hain jo U.P.S laga lete hain

sundar ladki

1 sundar ladki ne aapse lift mangi...
Raste mein uski tabiyat kharab ho gayi...
aap use Hospital le gaye....

Doctor bola :-
'Mubarak ho aap baap banne wale he'..
Lo ho gayi tension............

Aap bole main iska Baap nahi hu,
Ladki boli yahi iska baap hai.
Aur tension !...........

Police aayi aur aapka Medical Checkup hua
Report aayi K aap to kabhi baap ban hi nahi sakte.
Saala 1 sundar ladki ne aapse lift mangi...
Raste mein uski tabiyat kharab ho gayi...
aap use Hospital le gaye....

Doctor bola :-
'Mubarak ho aap baap banne wale he'..
Lo ho gayi tension............

Aap bole main iska Baap nahi hu,
Ladki boli yahi iska baap hai.
Aur tension !...........

Police aayi aur aapka Medical Checkup hua
Report aayi K aap to kabhi baap ban hi nahi sakte.
Saala aurr tension......

Aapne ThankGod kaha aur bahar aa gaye....

Fir yaad aaya Ghar mein 2 Baccheyhain wo kiske hain ??????
REAL TENSION....... tension......

Aapne ThankGod kaha aur bahar aa gaye....

Fir yaad aaya Ghar mein 2 Baccheyhain wo kiske hain ??????
REAL TENSION.......

Weather Rainy Hona Chahiye

Weather Rainy Hona Chahiye
Sunny Toh Deol Bhi Hai...

Baal Majboot Aur Ghane Hone Chaiye
Mulayam Toh Yadav Bhi Hai...

Phone to iPhone Ya Blackberry hona chahiye
S2 S3 aur S4 to Train Ke Dabbe Bhi hote hai...

Ladkiyan foreigner honi chahiye
Local to Mumbai ki Trains bhi hoti hai...

Relationship me Trust aur Pyaar hona chahiye
Loyal toh Kutte bhi hote hai...

Girlfriend Passionate honi chahiye
Caring to Nurse bhi hoti hai...

Ladki andar se achi honi chahiye
Bahari nikhar to Fair & Lovely bhi deti hai...

Wife ek best friend jaisi honi chahiye
Life companion to S4 bhi hota hai...

Ladka Sensitive hona chahiye,
Emotions to WhatApp mein bhi hai...

Ladki Mein Attitude hona chahiye
Angry Toh Aaj kal Birds bhi hote hai...

Aadmi ko Limit mai rehna chahiye
Unlimited toh mera Data Plan bhi hai...

Zindagi Suljhi hui honi chahiye,
Uljhe huwe toh baal bhi hai...

Ladki sweet honi chahiye
Tikhi to Ramdev ki Mirchi bhi hoti hai...

Ladka Smart hona chahiye
Ameer to Mukesh Ambani ka beta bhi hai...

Ladki me Sense of Humor hona chahiye
SUSHIL toh SHINDE bhi hai...

Insan me Atma Sanman hona chahiye
Jaan to aaj kal Cement men bhi hai...

Bande ke paas Izzat honi chahiye
Paise to Sreesanth ke paas bhi hai...

Ladka accha hona chahiye
Smart to Phone bhi hota hai...!!!

Thak gaya main use I love u kehte kehte

Ek haseena per nigaahe thahri thi,
uski aankhe jheel se bhi gehri thi,
Thak gaya main use I love u kehte kehte,
phir pata chala yaar wo to behri thi....

Aaj Kal Woh

Aaj Kal Woh Hum Se Baat Nahi Karte Hain

Raat Se Din Aur Din Se Raat Nahi Karte Hain

Aate Rehte Hain Khayalon Main Har Pal

Par Asliyat Main Mulakaat Nahi Karte Hain.......

Tu Wo Zaalim Hai

Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka..

“Ae dost”

Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh kar Bhi Tera Ho Gaya…!!!!!

Tum Pe Nazar pari To


!!♥Chup Chaap Chall Rahae Thay Safr-e-Hayat Mein...!!
Tum Pe Nazar pari To Gumraah Se Ho Gaye..!! ♡

ham ko SUGAR ho gai

Kyaa bataaen, ke hum ko, ye bimaari keunker ho gaai..?

Itne meethey hum ban gaaey ke ham ko SUGAR ho gai..

Sub se meetha, bolne ki, hum ko yeh, mili hay sazaaaa..

Khaane peene me dekho, meetha hamara hi bund huaa.!

Meethi baaten kerte kerte, hum meethe ko taras gaaey,,

Baadal kaheen, jo ruke hue they, achanak baras gaaey !

Meethey meethey nahi rahna,Kabhi khatte karwe ho jana,

Sadaa meethey rahne me baraa, nuqsaan hay, Janaaan.!

Aey Khuda! boht boht tera shukrya tu ne hame bimar kya,

Bimaarpursi ko hi sahi, "Unhon" ne hamen, yaaad to kya !!

Kahin-na-kahin, kuch-na-kuch rah hi jata hai zindagi me,,

Dekhnaa aey naaz! kami na aaye us khuda ki bundagi me!

Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna

Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna
Ho Jaaye To Inkaar Mat Karna
Nibha Sako To Chalna Uski Raah Par
Varna Kisi Ki Zindagi Barbaad Mat Karna

Husn Ko Be-Hijaab Hona Tha



Husn Ko Be-Hijaab Hona Tha
Shauq Ko Kaamayaab Hona Tha

Hijr Mein Kaif-e-Iztaraab Na Puch
Khoon-e-Dil Bhi Sharaab Hona Tha

Tere Jalvon Mein Ghir Gaya Aakhir
Zarre Ko Aafataab Hona Tha

Kuch Tumhari Nigaah Kaafir Thi
Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha

Raat Taaron Ka Tutna bhi 'Majaz'
Baais-e-Iztaraab Hona Tha

Teri Zat Se Nikalna Chahta Hai

Teri Zat Se Nikalna Chahta Hai
Ye Dariya Rukh Badalana Chahata Hai

Vo Sapna Jis Ki Surat Hi Nahi Hai
Meri Ankhon Main Chalna Chahta Hai

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Ta’ajjub
K Suraj Bhi To Dhalna Chahta Hai

Nashist-E-Dard Badali Hai To Ab Dil
Zara Pahlu Badalna Chahta Hai

Mujhe Bhi Samana Hai Karbala Ka
Mera Sar Bhi Uchalna Chahta Hai

Nahi Hai Tarjuman-E-Gam Ye Ansu
Ye Pani Ab Ubalna Chahta Hai

Tabassum Zer-E-Lab Kahta Hai ‘Amjad’
Koi Jazba Machalna Chahta Hai

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai

Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai
Kisi K Sath Sahi Vo Nazar To Aya Hai

Karun Shikayaten Takta Rahun K Pyar Karun
Gaye Bahar Ki Surat Vo Laut Aya Hai

Vo Samane Tha Magar Ye Yaqin Na Ata Tha
Vo Ap Hai K Meri Khvahishon Ka Saya Hai

Azab Hup K Kaise Hain Barishen Kya Hain
Fasil-E-Jism Giri Jab To Hosh Aya Hai

Main Kya Karunga Agar Vo Na Mil Saka ‘Amjad’
Abhi Abhi Mere Dil Main Khayal Aya Hai

Do Chaar Lafz Pyar Ke


Do Chaar Lafz Pyar Ke Le Kar Main Kya Karoon

Deni Hai To Wafa Ki Mukammal Kitaab Do

Hota Jo Agr Yeh Mumkin

Hota Jo Agr Yeh Mumkin…?
To Main Tumhe Sans Bana Ker Dill Main Rakhta,

Tu Ruk Jaye To Main Nahi…!
Main Mar Jaon To, Tu Nahi…!!

Tere Khayal Se Hai

Her Ik Pal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai
Meri Ghazal ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Banda Howa Hai Teri Arzo Se Sara Badan
Her Ik Amal ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Ye Tishnagi Tu Mujhe Jan Se Bhi Payari Hai
K Mere Thal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai

K Meri Rouh Ki Sari Bahar Tuj Se Hai
Kanwal Kanwal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Ye Zindagi Bhi Teri Ata Ay Jan e Jaa
Agar Ajal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Ye Meri Rouh Munqish Hai Teri Yaado SE
K Is Mehal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Firaq o Hijar K Ye Jis Qadar Masayel Hein
Sabhi K Hal Ka Taluq Tere Khayal Se Hai

Mohabat Dekh Li Main Na

Mohabat Dekh Li Main Na Zamanay Bhar Ka Logo Ki

Jahan Kuch Daam Zayada Hon Wahan Insan Biktay Hain

Mohabat To Barish Hai



Mohabat To Barish Hai

Jisay Chonay Ki Khawahish Main

Hathaliyan Geli Ho Jati Hain

Mager Hath Hamysha Khali Hi Rehtay Hain

Barishon K Mosam Me

Ham Ne Dil Lagaya Tha…Barishon K Mosam Me
Ik Diyaa Jalayaa Tha….Barishon K Mosam Me

Kis Qadar They Nadaan Ham, Kaghzon K Pholon Se
Apna Ghar Sajaaya Tha…Barishon K Mosam Me

Aata Hoon … Chala Jaata Hoon



Maktab e Ishq Tak Aata Hoon … Chala Jaata Hoon
Hath Lafzon Ko Lagata Hoon … Chala Jaata Hoon

Me Muhabbat Ke Kisi Shehr Me Badal Ki Tarah
Rone Aata Hoon … Rulata Hoon … Chala Jata Hoon

Ik Main Hun , Ik Muhobbat Teri



Kitni Mehdood Si Hai Duniya Meri

Ik Main Hun , Ik Muhobbat Teri

Meri Mohabbatain Bhi Ajeeb Thi

Meri Mohabbatain Bhi Ajeeb Thi, Mera Faiz Bhi Tha Kamal Ka

Kabhi Sab Kuch Mila Bina Talab, Kabhi Kuch Na Mila Sawal Par

Kitnay Majboor Howe

Kitnay Majboor Howe Ana Ka Hathoo

Reza Reza Bhi Howe Or Bikhray Bhi Nahi

Toot Ke Chahne Wale

Mil Hi Jayega Hum Ko Bhi Koi Toot Ke Chahne Wale

Ab Shehar Ka Shehar Toh Bewafa Nahi Ho Sakta

Gungunaate Huwe


Gungunaate Huwe Aanchal Ki Hawa De Mujhko

Ungliyaan Phair Ke Baalon Mein Sulaa De Mujhko

Aik Tum Ko Agar Churaa Loon

Aik Tum Ko Agar Churaa Loon To Qasam Say

Yeh Sara Zamana Ghareeb Hoo Jaye

Barasti Barishon Se


Barasti Barishon Se Bus Mujhe Itni C Nisbat He

K Is Tarah ka Ik Mosam, Mere Andar B Rehta He

Thokrain Kha K, Muskurana Para


Hosloon Ka Saboot Denaa Tha

Thokrain Kha K, Muskurana Para

Tum Ne Rasty Badal Liye Warna

Tum Ne Rasty Badal Liye Warna

Hum Tere Sath Door Tak Jatay

Mohabbat Banti Hai


Intezar Siskiyan Udaasi Aur Dard

Mil Jaayein Toh Mohabbat Banti Hai

Daman Bhi Dabaa Rakha He


Thokrain Maar Ke Mehfil Se Uthatey Hain Mujhe

Or Aik Paaaon Se … Daman Bhi Dabaa Rakha He

Aankhen Nikaltey Hain Wo


Dagh…! Aankhen Nikaltey Hain Wo

Un Ko De Do … Nikaal Kar Ankhen

Dard Se Mere Hai Tujhko Beqaraari Haaye Haaye …


Dard se mere hai tujhko beqaraarii haaye haaye
Kyaa hui zaalim teri Ghafalatshi’aari haaye haaye


Tere dil meN gar na thaa aashob-E-Gham kaa hausalaa
Tu ne phir kyun kii thii merii Gham-gusaari haaye haaye


Kyun meri Gham-Khaaragii kaa thujhko aayaa thaa Khyaal
Dushmanii apanii thii merii dost daari haaye haaye


Umr bhar kaa tuune paimaan-E-vafaa baaNdhaa to kyaa
Umr ko bhii to nahiN hai paayadaari haaye haaye


Zahr lagtii hai mujhe aab-O-havaa-E-zindagii
Yaa’nii tujh se thi ise naasaazgaari haaye haaye


Ghulfeshaani haaye naaz-E-jalvaa ko kya ho gaya
Khaak par hoti hai terii laalaakaari haaye haaye


Sharm-E-rusvaayii se jaa chhupnaa naqaab-E-Khaak meN
Khatm hai ulfat kii tujh par pardaadaari haaye haaye


Khaak meN naamuus-E-paimaan-E-muhabbat mil gayii
Uth gayii dunyaa se raah-O-rasm-E-yaari haaye haaye


Haath hi teGh-aazmaa kaa kaam se jaataa rahaa
Dil pe ik lagne naa paayaa zakhm-e-kaari haaye haaye


Kis tarah kaaTe koii shab_haaye taar-E-barshigaal
Hai nazar khun kardaa-E-akhtar-shumaari haaye haaye


Gosh mahjuur-E-payaam-O-chashm mahruum-E-jamaal
Ek dil, tis par ye naa-ummiid-vaari haaye haaye


Ishq ne pakaRa na thaa ‘Ghalib’ abhii vahshat ka rang
Rah gaya thaa dil meN jo kuchh zauq-E-Khaari haaye haaye

Aaiinaa KyuN Na DuN K Tamaashaa KaheN Jise …


Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise


Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise


PhuuNkaa hai kisane gosh E muhabbat meN ai Khudaa
Afasuun-E-intazaar E tamannaa kaheN jise


Sar par hujuum-E-dard-E-Ghariibii se Daliye
Vo ek musht-E-Khaak K seharaa kaheN jise


Hai chashm-E-tar meN hasarat-E-diidaar se nihaaN
Shauq-E-inaaN guseKhtaa dariyaa kaheN jise


Darakaar hai shiguftan-E-gul haaye aish ko
Subh-E-bahaar pa.nbaa-E-miinaa kaheN jise


“Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
Aisaa bhii koii hai K sab achchhaa kaheN jise

Poochhte HaiN Woh K GHalib Kaun Hai?


Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

Raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

Laag  ho  to   usko  ham   samjhaiN   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

Ho  liye   kyuN   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?

Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?

Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayaiN  kya 

Dil E Naadaan Tujhe hua Kya Hai …


Dil  E naadaaN  tujhe  huaa  kya  hai


Aakhir  iss  dard  kii  davaa  kya  hai


Hum  haiN  mushtaaQ  aur  woh  bezaar


Yaa  ilaahee  yeh  maajraa  kya  hai


MaiN  bhi  muNh  me  zabaan  rakhta  huN


Kaash poochho  K muddu’aa  kya  hai


Jab  K  thujh  bin  naheeN  koi  maujood


Phir yeh  hangaamaa  ae  Khuda  kya  hai


Yeh  paree  chehra  log  kaise  haiN


Ghamza O  ishwa O  adaa  kya hai


Shikan E zulf E anbareeN  kyuN  hai


Nigah  chashm E  surma  sa  kya  hai


Sabza O gul  kahaaN  se  aaye  haiN


Abr  kyaa  cheez  hai,  havaaa  kya  hai


Hum  ko  un se  wafa  ki  hai  ummeed


Jo  naheeN  jaante  wafa  kya  hai


HaaN  bhala  kar  tera  bhala  hogaa


Aur  darvaesh  kee  sadaa  kya  hai


Jaan  tum  par  nissaar  karta hooN


Main naheeN jaanta du’aa  kya  hai


MaiN  ne  mana  K  kuchh  nahi  ‘Ghalib’


Muft  haath  aaye  to  buraa  kya  hai

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai



 Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le meiN yeh karishma na barq meiN ye ada
koee bataao K woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

RagoN meiN dauRte phirne ke ham naheeN qaayal
Jab aaNkh hi se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar meiN ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?

Gayi rutoN me to shaam O sehar na the aise

Gayi rutoN me to shaam O sehar na the aise
K hum udaas bahut the magar na the aise

Yahaan bhi phool se chehre dikhayi dete the
Yeh ab jo hain, yahi deewaar O dar na the aise

Mile to khair, na milne pe ranjishenN kaisi
K us se apne marasim the par na the aise

RafaaqatoN se mara huN, musaafatoN se nahi
Safar wohi tha magar hum-safar na the aise

HameeN the jo tere aane talak jalay warnaa
Sabhi chiraagh sar e rahguzar na the aise

Dil e tabaah! tujhe aur kya tasalli den
Tere naseeb, tere chara-gar na the aise

Hawa Mahak UThi Rang E Chaman Badalne Laga …


Hawa mahak uThi rang E chaman badalne laga


Woh mere saamne jab pairahan badalne laga


Bahum hue haiN to  ab guftagu nahi hoti


Bayaan E haal meN tarz E sukhan badalne laga


Andhere meN bhi mujhe jagmaga gaya hai koi


Bas ik nigaah se rang E badan badalne laga


Zara si dair ko barish ruki thi shaakhoN per


Mizaaj E susan O sarv O saman badalne laga


Faraz E koh pe bijli kuch is tarah chamki


Libaas E vaadi O dasht O daman badalne laga

Dil Ki Barbaadi Ka Koi Silsilaa Pahle Se Tha …


Dil ki barbaadi ka koi silsilaa pahle se tha
Is chiraGh E shab pe altaaf E hawa pahle se tha

Us ke yuN tark E muhabbat ka sabab hoga koi
Ji nahi yeh maanta wo bewafaa pahle se tha

DonoN apni zindagi ke chhutpute meN haiN magar
Is tarah milna muQaddar me likha pahle se tha

Ab to zakhm E dil namak khaar E tawajjoh hai tera
Naam par jari tere harf E dua pahle se tha

Raasta bhoola nahi abke parinde khushkhabar
Aur kuchh ujRa hua shahr E sabaa pahle se tha

Tere aane se to bas zanjeer hi badli gayi
Hum asiiroN pe jafaa ka baab waa pahle se tha

Amir E Shahr Se Sayil BaRa Hai …



Amir E shahr se sayil baRa hai
Bahut naadaar, lekin dil baRa hai

Lahoo jamne se pahle khuN-baha de
YahaaN insaaf se Qatil baRa hai

ChaTaanoN meN ghira hai, aur chup hai
Samumdar se kahiN saahil baRa hai

Kisi basti meN hogi such ki hurmat
Hamare shahr meN baatil baRa hai

Jo zil-lul-lah per eemaan laye
Wohi danaoN meN aaqil baRa hai

Use kho kar bahaaye-dard paayii
ZayaaN chhota tha aur haasil baRa hai

Sundar Komal SapnoN Ki Baaraat …


Sundar komal sapnoN ki baaraat guzar gayi jaanaaN
Dhup aNkhon tak aa pahuNchi hai raat guzar gayi jaanaaN

Bhor samay tak jis ne hamaiN baaham uljhaaye rakkha
Woh albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaaN

Sadaa ki dekhi raat hamaiN is baar mili to chupke se
Khaali hath pe rakh k kya saughat guzar gayi jaanaaN

Kis koNpal ki aas meN ab tak waise hi sar-sabz ho tum
Ab to dhup ka mausam hai barsaat guzar gayi jaanaaN

Log na jane kin raatoN ki muraadeN maaNga karte haiN
Apni raat to woh jo tere saath guzar gayi jaanaaN

Apni Tanhayi Mere Nam Pe Abaad Kare …


Apni tanhaayii mere naam pe aabaad kare

Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

Dil ajab shahr K jis par bhi khula dar iska

Woh musaafir ise har samt se barbaad kare

Apne qaatil ki zahanat se preshan hun main

Roz ek maut naye tarz ki eejaad kare

Itnaa hairaaN ho meri be-talabi ke aage

Wa qafas mein koi dar khud mera saiyyad kare

Salb E beenaayii ke ahkaam mile hain jo kabhi

Raushni chhune ki khashish koi shabzaad kare

Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab to

Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare

Jab lahoo bol paRe uske gawaahoN ke khilaf

Qaazii-E-shahr kuchh is baab mein irshaad kare

Uski muTThi mein bahut roz raha mera wajood

Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare

Bahut Roya Woh Hum Ko Yaad Kar Ke


 Bahut roya woh hum ko yaad kar ke

Hamaari zindagii  barbaad kar ke

PalaT kar phir yahiN aajayeNge hum

Woh dekhe to hamaiN aazaad karke

Rihaayii ki koi soorat nahii hai

Magar haaN! minnat E saiyaad kar ke

Badan mera chhuaa tha usne lekin

Gaya hai rooh ko aabaad kar ke

Har aamir tool dena chaahta hai

Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke

Yun Hausla Dil Ne Haaraa Kab Tha


YuN hausla dil ne haaraa kab tha
Sartaan  mera sitaaraa kab tha

Laazim tha guzarna zindagi se
Bin zehr piye guzaaraa kab tha

Kuchh pal use aur dekh sakte
AshkoN ko magar gawaaraa kab tha

Hum khud bhi judaayi ka sabab the
Uska hi qusoor saaraa kab tha

Ab aur ke saath hai to kya dukh
Pahle bhi koi hamaaraa kab tha

Ek naam par zakhm khil uthe the
Qaatil ki taraf ishaaraa kab tha

Aaye ho to raushni hui hai!!
Is baam par koi taaraa kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne
Dulhan ki tarah saNwaaraa kab tha

Kyun Mujh Pe Hua Hai Mehrbaan Tu


KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu

MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN tu

MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu

Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu

Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu

Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu

Ek aam ghareeb-e-shahr hun maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu

Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN tu

Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN tu

Theher Jaye, Magar Raat Katay

Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay

Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

Ye Manzar Barhaa Daikha Muhabat Main


Ye Manzar Barhaa Daikha Muhabat Main
Kebi Aansoo Se Tar Pelkien
Kebi Aahoon Mein Lerzaan Lub
Kebi Sansoon Mein Lerzash Si
Kebi Qadmoon Mein Dagmag Si
Magar Phir B!
Kitab_E_Dil Se Ye Tehrir Nahin Miteti
Nahin Jati Hai Seene Se Kesak Is Ki
Wesel_E_Yaar B 
Tishnagi Kuch Kam Nahin Hoti
Sunoo!
Is Safre Muhabat Mein
Buhat Dushwaar Restoon Pe
Musalsal Chelte Rehne Se
Musafet Kam Nahin Hoti
Ye B Haqiqat Hai 
K Is Safre Muhabat Mein
Muhabat K Musafir Ko 
Kebi Menzil Nahin Milti

Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh Kurty Hen


Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh Kurty Hen
Jo Tou Nahi Tu Ojaaly Bhe Sogh Kurty Hen

Tomhary Hath Ki Chori Bhe Bain Kurti Hey
Humary Honth Kay Naaly Bhe Sogh Kurty Hen

Nughur Nughur Bekhry Hen Zolm Kay Munzur
Humari Rooh Kay Chaaly Bhe Sogh Kurty Hen

Ossy Kaho Kay Sittum Meah Koch Kumi Kur Day
Kay Zolm Torny Walay Bhe Sogh Kurty Hen

Tom Apny Dokh Pay Akaly Nahi Ho Afsordah
Tomary Chahany Waaly Bhe Sogh Kurty Hen

Tum Se Mohabbat Kar K Hum Bohot Pachta Rahe Hain


Tum Se Mohabbat Kar K Hum Bohot Pachta Rahe Hain
Kash Sazaa-E-Mohabbat Se Sazaa-E-Maut Achha Tha 

H0ti H0 Gi Mere B00Sey Ki Talab Mai Paagal

H0ti H0 Gi Mere B00Sey Ki Talab Mai Paagal
Jab Bhi Zulf0'n Mai K0i Ph00L Sajaati H0 Gi

Ye Jo Chehre Se Tumhe Lagte Hain Beemar Se Hum


ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum
khob  roye  hain  lipat  kar  dar-o-deewar se  hum

yar  ki  aankh  main  nafrat  ne  hamain  qatl  kiya
kon  kehta  hai  kate  yar  ki  talwaar  se  hum

ranj  har  rang  k  jholi  main  bhare  hain  hum ne
 jab bhi guzre  hain  kisi  dard  k  bazaar  se  hum

ishq  main  hukm  adooli  bhi  hamain  ati   hai
talne  wale  to  nahi  hain  tere  inkaar   se  hum

Juda Honay K Mosam Main Juda Hona Zaroori Tha


Juda hony k mosam me juda hna zrori tha
Najany q kisi ka bewfa hona zruri tha

Mere dil ne jo is ko poojany ki intha kr di
To phir us bewafa ka be Khuda hna zruri tha

Kisi se koi b shikwa na koi b shakyat ha
Jo mery sath chaht mein huwa,Hona zruri tha

bht nazdek thay dil is liye ab dooriyn b hain
Dilon k dermiyan kuch fasla hna zrori tha

Usy b drd dny ka bht he shok tha "Wasi"
Hmy b drd o ghm sy ashna hona zrori tha

Hath Mein Leke Mera Hath Ye Wada Krlo


Hath Mein Leke Mera hath ye wada Krlo

Ab Na Choro Ge Mera sath ye wada Krlo

Tum Na Badlo Ge Badalte Mosam ki Trha

Beetny wali hai Barsat ye wada krlo

Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hen

Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Krlo

Tum to waday B Bhula Dety Ho Aksar “Wasi”

Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Krlo…!

vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa


vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa


ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN men utar jaayegaa

vo havaaon kii tarah Khaanaa_bajaaN phirataa ha
iek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan men Thahar jaayegaaaa

Khirash vo bhii kahiin ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii


Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii
main apane haath se us kii dulhan sajaa_uuNgii

supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT aa_uuNgii

badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskuraa_uuNgii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa_uuNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaa_uuNgii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThaa_uuNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunaa_uuNgii

(manasuub=attached)

javaz DhuuNDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaa_uuNgii

(javaz=reason)

sama'aton men ghane jangalon kii saaNsen hain
main ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uuNgii

Puuraa dukh aur aadhaa chaaNd


Puuraa dukh aur aadhaa chaaNd
hijr kii shab aur aisaa chaaNd

(hijr=separation; shab=night)

itane ghane baadal ke piichhe
kitanaa tanhaa hogaa chaaNd

(tanhaa=lonely)

merii karavaT par jaag uThe
niind kaa kitanaa kachchaa chaaNd

seharaa seharaa bhaTak rahaa hai
apane ishq men sachchaa chaaNd

(seharaa=desert)

raat ke shaayad ek baje hain
sotaa hogaa meraa chaaNd

Tujh se koi gilla nahin hai


Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai

Naya Dard Ik Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.


Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.
Kal Phir Woh Mere Sheher Mein Aa Ker Chala Gya.

Jis Se Dhoondta Raha Main Lougon Ki Bherr Mein.
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Gya.

Main Oski Khamoshi Ka Sabab Poochta Raha.
Woh Qisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gya.

Yeh Sochta Hoon Kese Bhulaaoon Ga Ab Osse.
Aek Woh Jo MujhKo Bhula Kar Chala Gya.

Radeef , Qafia , Bandish , Khayal , Lafz-Gari


Radeef , Qafia , Bandish , Khayal , Lafz-Gari
Wo hUUr , Zeena UtartAy hUway SikhanAy Lagi

Saheefa hUsn Ka , Iss ShAAn sAy hUwa NAzil
KhUda Ki Shaan mAin , Har "yAd AayAh" Main nAy Parhi

Kice K Sheeren LabOOn sAy UdhAr LaitAy hAin
MithAs , Shehad , Ratb , Cheni , Qandd , Misri Dali

Kice K SAth NahAtAy hAin tAiz Barish mAin
Libaas , GajrAy , Uffaq , Aankh , Zulf , Hoont , Hansi

Kice Ka Bheega Badan , Gul Khilata hAi Aksar
Gulab , rAAni , Kanwal , Yasmeen , Champa Kali

Kice kO Chalta hUwa Daikh lAin tO Chaltay Banain
Ghazal , Morini , Maujen , Najm , Zamana , Ghari

Kice K Madh Bhari AankhOOn K Aagay kUch Bhi Nahi
Thakan , Sharab , Dawa , Gham , Khumar e Neem Shabi

"Ba Shart e Faal" Kise Khal Par mAin Warun Ga
Chaman , Pahar , Daman , Dasht , Jheel , Khushki , Tari

NigahAin 4 hUway , Waqt Hoosh Kho Baithaa
Saddi , Dahayi , Baras , Mah , Roz , Aaj , Abhi

Ata-e-hUsn Thee , Qais Ik Jhalak mAin Shokh Ghazal
Bayaz Hotee Mukamal , Magr Wo Phr Na Meli

Tumhara Khat Mila Jana

Tumhara khat mila Jana!

Wo jis mein tum ne poocha hai,

K ab haalaat kaise hain?

Mere din raat kaise hain?

Mehrbani tumhari hai!

K tum ne is tarah mujh se,

Mere haalaat pooche hain,

Mere din raat pooche hain,

Tumhein sb kuch bta doon ga,

Mujhe itna bta do k.

Kabhi Sagar kinare pr,

Kisi Machhli ko dekha hai?

K jis ko lehrein paani ki,

Kinare tk to lati hain,

Magr phir chorr jati hain,

Mere haalaat aise hain,

Mere din raat aise hain…

Wo Shakhs Aik Sham Main Kitna Badal Gya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaii'ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
To kyaa hua jo ham se zammana badal gaya

Qadmon talay jo reit bichhi thi wo chal pari
Us ne churaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya

Ik sarkhashi ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan
Pardaa uthaa to saara tamasha badal gayaa

Hairat se saare lafz usey dekhte rahe
Baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya

Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Is ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gaya

Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha wo
Manzil kay paas aa ke jo rasta badal gaya

Qaayem kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
Aitabaar kho gayi kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asl mein saaya tha rang ka
Jis ne use jidhar say bhi dekha, badal gaya

Andar ke mausmoun ki khabar us ko ho gayi
Us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye
Wo muskuraya aur meri duniya badal gaya

Apni galii mein apna hi ghar dhundte hain log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gaya!

Kya kehte hain


Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Dil beqaraar apna hai



tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

Aankh Bhar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae


Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

Is tarah toote


Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Baarish ke baad


Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya  baarish ke baad

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay


Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Kyun nahi detay


Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay

Vahaashat ka sabab ruuzan-e-zindaan to nahi hai
Mahar-o-maah-o-Anjum ko bujha kyun nahi detay

Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay

Munsif ho agar tum to kub insaaf karoge
Mujrim hai agar hum to sazza kyun nahi dete

Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
Rahabar ho to manzil ka pataa kyuun nahi dete

Kya beet gai ab ke Faraz ahal-e-chaman par
Yaaran-e-qafas mujhko sada kyun nahi dete

Silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate

silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
warna itne to marasim the k aate jaate

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jaate

kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana
fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate

jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
paab-zoolan hi sahi naachte gaate jaate

uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha
tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate

Kal jab milay thay to dil me hua eik sound

Kal jab milay thay to dil me hua eik sound,
Or aaj milay to kehte ho your file not found,
Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar dunga,
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar dunga,
Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye,
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye,
Lakhon honge nigah me, kabhi mjhe bhi pick karo,
Mere pyar ke icon pe kabhi to double click karo..

Kadi Pyaar NAi Mukda Dilaan Wichoon

Kadi Mehak Nai Mukdi Phullan Vichon
Phul Sukdy Sukdy Sukk Jandy.
Koi Qadar Na Jany Pyar Di
Dil Tutdy Tutdy Tut Jandy…
Koi Mool Nai Jug Te Rishtyaan Da
AY Chutdy Chutdy Chut Jandy..
Kadi Pyaar NAi Mukda Dilaan Wichoon
Saah Mukdy Mukdy Mukk Jandy..

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho…

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon…
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho…

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay..
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho…

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho..

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal..
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho…

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay…
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

“Kahun K Kia Ho Tum….?”

“Kahun K Kia Ho Tum….?”

Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,

Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,

Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,

Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,

Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,

Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.

Jaan-e-Jaan Eid Mubarak!

Tumhari Khamoshi Ka Sabab
Janta Hoon Main
Rothe Hoey Ho Tum
Manta Hoon Main
Per Hisaar-e-Anna Main Qaid
Ab Ki Bar Bhi
Meri Yeh Khuwaush Hai
Ke Har Bar Ki Tarah
Tum Mujhe Manao
Per Yunhi Dino Ka Shumaar Karte Karte
Tumhara Intezaar Karte Karte
Calender Ki Taraf Dekha
Tu Khayal Aaya
Ab Ki Bar Main
Apni Anna Ko Tor Donga
Muhubat Ki Kahani Ko
Naya Aik Mor Doga
Shayad Isi Tor Hojaey
Meri Sari Kotahiyon Ka Tadraak
Lo Aaj Main Tumhain Kehta Hoon
Jaan-e-Jaan
Eid Mubarak!

Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal-E-Yar Hota

Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal-E-Yar Hota
Agar Aur Jite Rahte Yahi Intzar Hota

Tere Wade Par Jiye Ham To Ye Jan Jhuth Jana
K Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota

Teri Nazuki Se Jana K Bandha Tha Ahdboda
Kabhi Tu Na Tor Sakta Agar Ustawar Hota

Koi Mere Dil Se Puche Tere Tir-E-Nimakash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar K Par Hota

Ye Kahan Ki Dosti Hai K Bane Hain Dost Naseh
Koi Charasaz Hota, Koi Gamgusar Hota

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahu K Phir Na Thamta
Jise Gam Samajh Rahe Ho Ye Agar Sharar Hota

Gam Agarche Jangusil Hai, Pe Kahan Bachen K Dil Hai
Gam-E-Ishq Gar Na Hota, Gam-E-Rozgar Hota

Kahun Kis Se Main K Kya Hai, Shab-E-Gam Buri Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Bar Hota

Hue Mar K Ham Jo Ruswa, Hue Kyon Na Garq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthta, Na Kahin Mazar Hota

Use Kiun Dekh Sakta Ki Yagana Hai Wo Yakta
Jo Dui Ki Bu Bhi Hoti To Kahin Do Char Hota

Ye Masail-E-Tasawuf, Ye Tera Bayan ‘Ghalib’
Tujhe Ham Wali Samajhte, Jo Na Badkhwar Hota

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll