Aye Naseeb Mere Naseeb

Aye naseeb mere naseeb tu, Zara sabr rakh zara sabr kar
Wo bulayengey humein ek din, Jo nasheen hain arshon ke arsh per
Ke wo jaantey hain dilon ko bhi, Or jaante hain dilon ki bhi
Ke wo dilnasheen hain dilon ke bhi, Zara or dil se tu arz kar
Tu mariz e ishq e rasool hai, Or jah e naseeb ye marz hai
Wo tabeeb e aalam e marz hain, Kyun sisak raha hai tu marz per
Jo asar karey arshon ke paar, Tu suna kuch aisi kamal e tarz
Ja sisak tu fir usi tarz pe, Ke wo aayengey teri tarz per
Jo bhara hai daaman gunahon se, To kar tauba or ye aqeeda rakh
Dikha fir nadaamatein sajdey me, Wo jeelayengey tujhe hashr per
Yahi hasrat e ‘ Mehboob ‘ hai, Wo bulayein farsh e madina or
Karun aankhein apni me band udhar, So jaun fir usi farsh per

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll