Ik Rone Se Tu Mil Jaye Tu

Ik Rone Se Tu Mil Jaye Tu Khuda Ki Qasam

Is Dharti Pe Sawan Ki Barsat Lga Don

Koi To Barsat Aisi Ho

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy…
Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain…

Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha,

Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha,

Ik Tera Zikr Tha Jo Meri Sadaon Mein Raha,

Kitne Logon Se Mere Gehre Marasim Hain Magar,

Tera Chehra Hi Faqat Meri Du’aon Me Raha….

Woh Jise Barish Pasand Na Thi

Woh Jise Barish Pasand Na Thi,

Najane Kion? Aj Dair Tak Tanha,

December Ki Barish me  bheegta Raha…

Bars sake to bars jaye

Bars sake to bars jaye is ghari warna

Bkhair dale gi badal ke saray khawab hawa

Jo Barish Ki Tamana Hai Tu

Jo Barish Ki Tamana Hai Tu In Ankhon Main Aa Betho
Wo Barson Main Kehain Barsain Ye Barson Se Barasti Hai

Muhabat Tu Barish Hai

Muhabat Tu Barish Hai
Jisay Chohne Ki Khawish Main
Hathalian Gheli Ho Jati Hain
Magar Haath Hamesha Khali He Rahte Hain…

Aaj Bi Wesa Hi

Aaj Bi Wesa Hi Mosam Hai
Aaj Bi Wese Hi Badal Hain
Aaj Bi Wesi Hi Barish Hai
Jab Ham Pehli Bar Milay Thy
Yad He Ham Ne Ye Socha Tha
Ham Ko Milte Dekh Ke Mosam
Itna Khush Hai, Itna Khush Ke
Is Ki Aankhein Bheig Gayen Hain
Aaj Magar Ham Jan Gaye Hain
Mosam Us Din Kun Roya Tha!!

Nam Hai Palkain Teri

Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath
Kia Tuje Bi Koi Yad Aata Hai Barsat Ke Sath

Tum Jo Nahi Barsaton Main

Tum Jo Nahi Barsaton Main

To Aag Lage Barsaton Ko…

Tu Ne Muje Kho Dia

Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi
Tu Ne Muje Kho Dia Main Ne Tuje Khoya Nahi

Barish Ka Mosam Ho

Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Muje Lahaq Tera Gham Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Udasi Jam Si Jati Hai Kisi Barf Ki  Manind

Khayalon Main Agar Tum Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Andaz Tumhare Jaisa Tha

Barish Ki Taiz Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par,
Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha,

Hawa Ke Halke Jhonke Ki Jab Aahat Huwi Khirki Par,
Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha,

Main Tanha Chala Jab Barish Mein, Ek Jhonke Ne Mera Saath Diya,
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Ehsaas Tumhare Jaisa Tha,

Phir Ruk Gayi Woh Barish Bhi, Rahi Na Baqi Aahat Bhi,
Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhare Jaisa Tha

Tumhain Barish Pasand Hai

Tumhain Barish Pasand Hai Muje Barish Main Tum

Tumhain Hansna Pasand Hai Muje Hanste Hoye Tum

Tumhain Bolna Pasand Hai Muje Bolte Hoye Tum

Tumhain Sab Kuch Pasand Hai Aur Muje Bas Tum

Kal Raat Barasti Rehi

Kal Raat Barasti Rehi Sawan Ki Ghata Bi
Aur Ham Bi Teri Yad Main Dil Khol Ke Roye

Is Barish Ke Mosam Main

Is Barish Ke Mosam Main Ajeeb Se Kashish Hai

Na Chahte Hoye Bi Koi Shidat Se Yaad Aata Hai

Jab Barish Barsa Karti Hai

Jab Barish Barsa Karti Hai

Aur Har So Pani Hota Hai

Ham Apne Ghar K Aangan Main

Amar Bail Ke Saye Main

Prindon Ko Dekha Karte Hain

Aur Tum Ko Socha Karte Hain

Mohabat To Barish Hai



Mohabat To Barish Hai

Jisay Chonay Ki Khawahish Main

Hathaliyan Geli Ho Jati Hain

Mager Hath Hamysha Khali Hi Rehtay Hain

Barishon K Mosam Me

Ham Ne Dil Lagaya Tha…Barishon K Mosam Me
Ik Diyaa Jalayaa Tha….Barishon K Mosam Me

Kis Qadar They Nadaan Ham, Kaghzon K Pholon Se
Apna Ghar Sajaaya Tha…Barishon K Mosam Me

Barasti Barishon Se


Barasti Barishon Se Bus Mujhe Itni C Nisbat He

K Is Tarah ka Ik Mosam, Mere Andar B Rehta He

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll