December Ki ye akhri Shaam

Aankh Nam Kar Gaya Bichray Huway Logo'n Ka Khayal...

Dard-e-Dil De Kar Doob Gai December Ki ye akhri Shaam...

Woh Jise Barish Pasand Na Thi

Woh Jise Barish Pasand Na Thi,

Najane Kion? Aj Dair Tak Tanha,

December Ki Barish me  bheegta Raha…

December Laut Aaya Hai

December Laut Aaya Hai
Tumhaaray Laut Aanay Ki.
Na’ee Ummeed Jaagi Hai

Abhi Pichhlay Baras Tum Nay
Meiray Seenay Pay Sar Rakh Kar..
Haya say munh chhupaaya tha..

Magar aprail aanay tak..
Tumhaari jheel aankhoon main..
Naya sapna samaaya tha..

Miray chhotay say aangan main…
Tumhain veh’shat si hoti thi..
Mujhay tum nay bataaya tha..

“Kisi Ki Qaid Main Rehna…
Mujhay Acha Naheen Lagta..
Main Ik Aazaad Panchhi Hoon”

Suna Hai Phir Say Tanha Ho..
Setambar K Maheenay Say..
Bohat Khaamosh Rehti Ho..

K Jis Ko Tum Nay Chaaha Tha..
Wafa K Naam Se Us Ko..
Bohat Veh’shat Si Hoti Thi..

“Wo Ik Aazaad Panchhi Tha..
Kisi Ki Qaid Main Rehna..
Usay Acha Na Lagta Tha…”

Suna Hai Mairay Aangan Ki..
Tumhain Ab Yaad Aati Hai…
Suna Hai Tum Pa’shaymaan Ho…

Chalo Phir Aisa Kartay Hain..
December Ka Maheena Hai…
Naya Aaghaaz Kartay Hain…

December Laut Aaya Hai…
Suno Ab Laut Aao Tum….

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll