Dard Se Mere Hai Tujhko Beqaraari Haaye Haaye …


Dard se mere hai tujhko beqaraarii haaye haaye
Kyaa hui zaalim teri Ghafalatshi’aari haaye haaye


Tere dil meN gar na thaa aashob-E-Gham kaa hausalaa
Tu ne phir kyun kii thii merii Gham-gusaari haaye haaye


Kyun meri Gham-Khaaragii kaa thujhko aayaa thaa Khyaal
Dushmanii apanii thii merii dost daari haaye haaye


Umr bhar kaa tuune paimaan-E-vafaa baaNdhaa to kyaa
Umr ko bhii to nahiN hai paayadaari haaye haaye


Zahr lagtii hai mujhe aab-O-havaa-E-zindagii
Yaa’nii tujh se thi ise naasaazgaari haaye haaye


Ghulfeshaani haaye naaz-E-jalvaa ko kya ho gaya
Khaak par hoti hai terii laalaakaari haaye haaye


Sharm-E-rusvaayii se jaa chhupnaa naqaab-E-Khaak meN
Khatm hai ulfat kii tujh par pardaadaari haaye haaye


Khaak meN naamuus-E-paimaan-E-muhabbat mil gayii
Uth gayii dunyaa se raah-O-rasm-E-yaari haaye haaye


Haath hi teGh-aazmaa kaa kaam se jaataa rahaa
Dil pe ik lagne naa paayaa zakhm-e-kaari haaye haaye


Kis tarah kaaTe koii shab_haaye taar-E-barshigaal
Hai nazar khun kardaa-E-akhtar-shumaari haaye haaye


Gosh mahjuur-E-payaam-O-chashm mahruum-E-jamaal
Ek dil, tis par ye naa-ummiid-vaari haaye haaye


Ishq ne pakaRa na thaa ‘Ghalib’ abhii vahshat ka rang
Rah gaya thaa dil meN jo kuchh zauq-E-Khaari haaye haaye

Aaiinaa KyuN Na DuN K Tamaashaa KaheN Jise …


Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise


Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise


PhuuNkaa hai kisane gosh E muhabbat meN ai Khudaa
Afasuun-E-intazaar E tamannaa kaheN jise


Sar par hujuum-E-dard-E-Ghariibii se Daliye
Vo ek musht-E-Khaak K seharaa kaheN jise


Hai chashm-E-tar meN hasarat-E-diidaar se nihaaN
Shauq-E-inaaN guseKhtaa dariyaa kaheN jise


Darakaar hai shiguftan-E-gul haaye aish ko
Subh-E-bahaar pa.nbaa-E-miinaa kaheN jise


“Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
Aisaa bhii koii hai K sab achchhaa kaheN jise

Poochhte HaiN Woh K GHalib Kaun Hai?


Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

Raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

Laag  ho  to   usko  ham   samjhaiN   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

Ho  liye   kyuN   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?

Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?

Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayaiN  kya 

Dil E Naadaan Tujhe hua Kya Hai …


Dil  E naadaaN  tujhe  huaa  kya  hai


Aakhir  iss  dard  kii  davaa  kya  hai


Hum  haiN  mushtaaQ  aur  woh  bezaar


Yaa  ilaahee  yeh  maajraa  kya  hai


MaiN  bhi  muNh  me  zabaan  rakhta  huN


Kaash poochho  K muddu’aa  kya  hai


Jab  K  thujh  bin  naheeN  koi  maujood


Phir yeh  hangaamaa  ae  Khuda  kya  hai


Yeh  paree  chehra  log  kaise  haiN


Ghamza O  ishwa O  adaa  kya hai


Shikan E zulf E anbareeN  kyuN  hai


Nigah  chashm E  surma  sa  kya  hai


Sabza O gul  kahaaN  se  aaye  haiN


Abr  kyaa  cheez  hai,  havaaa  kya  hai


Hum  ko  un se  wafa  ki  hai  ummeed


Jo  naheeN  jaante  wafa  kya  hai


HaaN  bhala  kar  tera  bhala  hogaa


Aur  darvaesh  kee  sadaa  kya  hai


Jaan  tum  par  nissaar  karta hooN


Main naheeN jaanta du’aa  kya  hai


MaiN  ne  mana  K  kuchh  nahi  ‘Ghalib’


Muft  haath  aaye  to  buraa  kya  hai

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai



 Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le meiN yeh karishma na barq meiN ye ada
koee bataao K woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

RagoN meiN dauRte phirne ke ham naheeN qaayal
Jab aaNkh hi se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar meiN ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?

Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal-E-Yar Hota

Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal-E-Yar Hota
Agar Aur Jite Rahte Yahi Intzar Hota

Tere Wade Par Jiye Ham To Ye Jan Jhuth Jana
K Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota

Teri Nazuki Se Jana K Bandha Tha Ahdboda
Kabhi Tu Na Tor Sakta Agar Ustawar Hota

Koi Mere Dil Se Puche Tere Tir-E-Nimakash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar K Par Hota

Ye Kahan Ki Dosti Hai K Bane Hain Dost Naseh
Koi Charasaz Hota, Koi Gamgusar Hota

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahu K Phir Na Thamta
Jise Gam Samajh Rahe Ho Ye Agar Sharar Hota

Gam Agarche Jangusil Hai, Pe Kahan Bachen K Dil Hai
Gam-E-Ishq Gar Na Hota, Gam-E-Rozgar Hota

Kahun Kis Se Main K Kya Hai, Shab-E-Gam Buri Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Bar Hota

Hue Mar K Ham Jo Ruswa, Hue Kyon Na Garq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthta, Na Kahin Mazar Hota

Use Kiun Dekh Sakta Ki Yagana Hai Wo Yakta
Jo Dui Ki Bu Bhi Hoti To Kahin Do Char Hota

Ye Masail-E-Tasawuf, Ye Tera Bayan ‘Ghalib’
Tujhe Ham Wali Samajhte, Jo Na Badkhwar Hota

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll