ik ajab chiiz hai sharafat bhi

ik ajab chiiz hai sharafat bhi
is men shar bhi hai aur aafat bhi

Tujhe Nahi Chorenge

Tum Se Ache To Mere Dushman Nikley...

Jo Har Baat Pr Kehte Hain.. Tujhe Nahi Chorenge

Aye Dil-e-Be-Qaraar Chup Ho Ja

Aye Dil-e-Be-Qaraar Chup Ho Ja
Jaa Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja

Ab Na Aayen Ge Roothne Wale
Deeda-e-Ashk-Baar Chup Ho Ja

Jaa Chuka Karvaan-e-Laal-O-Gul
Urh Raha Hai Ghubaar Chup Ho Ja

Choot Jaati Hai Phool Se Khushbu
Rooth Jate Hain Yaar Chup Ho Ja

Hum Faqiron Ka Is Zamany Me
Kon Hai Gham-Gusaar Chup Ho Ja

Haadson Ki Na Aankh Khul Jaye
Aye Hasrat-e-Sogvaar Chup Ho Ja

Geet Ki Zarb Se Bhi Aye Saghar
Toot Jate Hain Taar Chup Ho Ja.

Chor Dia Hum Ne Hamesha K Liye Uski Arzoo Karna

Chor Dia Hum Ne Hamesha K Liye Uski Arzoo Karna..
Jis Ko Mohabbat Ki Qadar Na Ho Usy Duaon Me Kya Mangna.

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaye
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna

Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Be Faida Hai Zeest Mein Ahbaab Ka Hajoom

Be Faida Hai Zeest Mein Ahbaab Ka Hajoom......!

Pur Khaloos Jo Mil Jaye To Ik Shakhs Bohat Hai.......!

Mujhy Masjid Nahin Jaa'ez

Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,! Mujhy Masjid Nahin Jaa'ez...

Tum 5 waqt Jaty Ho,  KHUDA se Mang Lo Mujh Ko!

Main rootha to wo mana kr chal diya,

Main rootha to wo mana kr chal diya,
Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya,

Ye such hai k wo Ehd-shikn tha,
Magar kuch waday b nibha kr chal diya,

Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat,
Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya,

Milna na milna NASEEB ki baat hai,
Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya,

Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum,
Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...

RooThA ThA JiS GaRoOr Se WoH Bhi Tu YaAd KaR

RooThA ThA JiS GaRoOr Se WoH Bhi Tu YaAd KaR

AaNkHoUn MAIn TeRi AaJ YeH AaNsOo FaZooL HaIn

jab bhi uthaye maine haath

Tere milne ke liye jab bhi uthaye maine haath
Meri Iss masoom khuwaish par Dua roti Rahi

Mehndi unke haathon mein lagado yaaron

Mehndi unke haathon mein lagado yaaron,
Mujhko bhi asal raah dikhado yaaron,

Pehna k mujhko meri hi ghurbat ka kafan,
Un pe surkh joda saja do yaaron,

Naam likh do unka khushiyon ki deewar par,
Mera naam-o-nishaan duniya se mita do yaaron,

Waqt aakhri hai,teri duniya mein is deewane ka,
Ho sake to mere mehboob ko batado yaaron,

Suna hai aaj,uski doli is gali se guzar jaayegi,
Uski doli se pehle is deewane ko duniya se mita do yaaron

mohabaat us ko kahtey hain

RAAT ki tanhaaiyoon main to koi bhi yaad kar leta ha

Jo duniyaa ki bheer main yaad karey mohabaat us ko kahtey hain.

Bahut Deir Kar Di

Bahut Deir Kar Di Tum Ne
Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein,
Mujhe Pane Mein Mujhe Se Pyar Karne Mein,
Ab Kuch Nahi Ho Sakta,
Amanat Hon Mein Kisi Aur Ki,
Guzar Gia Waqt Kia Rakha Hai,
Ab intzaar Karne Mein,
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,
Main Ye Iqrar Nahi Karon Gi,
Kahein Dil Na Toot Jaye Tumhara Ye iqraar Karne Mein,
Tum Mujhe Bhool Jao,
Ye Iltaja Hai Tum Se Meri,
Zindagi Youn Barbad Na Karo,
Apni Aashk Baar Karne Mein,
Na Karna Tum Mujhe Yad,
Na Main Yad Karon Gi,
K Bahut Takleef Hoti Hai,
Yad Kisi Ko Bar Bar Karne Mein..........! 

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,
Wo Ghairon Se Mil Kar Mujhe Tabha Karta Raha,
Main Ne Jis K Liye Apno Ko Chora,
Wo Kisi Aur Se Wada-E-Wafa Karta Raha,
Main Ne Jis K Liye Jeene Ki Duain Mangi,
Wo Mere Marne Ki Dua Karta Raha............! 

Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja K La

Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja K La...
Bujhta Huwa Diya Na Muqabil Hawa K La...

Darya Ka Intiqaam Dabo De Na Ghar Tera...
Saahil Se Roz Roz Na Kankar Utha K La...

Thori Si Aur Mauj Main Aa Ay Hawa-e-Gul...
Thori Si Us K Jism Ki Khushboo Chura K La...

Samaan Wafa Ka Bandh Magar Soch Soch Kar...
Is Ibtidaa Main Youn Na Sakhat Inteha K La...

Gar Dekhna Hai Ehl-e-Mashiyat Ka Hosla...
Maidaan Se Ghar Main Ek Maiyet Utha K La...

Mohsin Ab Us Ka Naam Hai Sab Ki Zubaan Par...
Kis Ne Kaha Tha Us Ko Ghazal Main Saja K La...

hamare aage tira jab kisu ne naam liya

hamare aage tira jab kisu ne naam liya
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liya

Itna to mere haal par ehsan kiya kar

Itna to mere haal par ehsan kiya kar !

Aankhon se mera dard pehchan liya kar !

Kuch saath de safar mein bohat thak gaya hoon mein !

Kuch pal hoon tere sath meri maan liya kar !

Afsane Mohabbat k adhure na chor tu !

Jurm-e-Wafa ka mujhse har beyan liya kar !

Mud'dat hoi is aas par thehre howa hoon mein !

Bhoolay se kabhi TU B MERA NAAM LIYA KR !

Apni zat se wabasta kar mujhe !

Ho kar KHAFA mujhse meri yon na jaan liya kar...

Hum Bewafa Hargiz Na The

Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Na Sake.
Hum ko Mili Uski Saza.
Hum Jo Khata Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Kitni Akeli Thi Woh Rahen Hum Jin pe
Ab Tak Akele Chalte Rahe.
Tujhse Bichar K Bhi O Bekhabar.
Tere Hi Gham Mein Jalte Rahe.
Tune Kiya Jo Shikwa.
Hum Woh Gila Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Tumne Jo Dekha Suna Sach Tha Magar.
kitna Tha Sach Yeh Kisko Pata.
Jaane Tumhe Maine Koi Dhokha Diya.
Jaane Tumhe Koi Dhokha Hua.
Is Pyaar Mein Sach Jhooth Ka.
Tum Faisla Kar Naa Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Naa Sake.

Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat

Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat...

Kahin Chahtain Bik Rahin Hain, Kahin Log Badal Rahay Hain...

Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me Woh Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takraar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi, 

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,
Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon,

Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye,
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon,

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi,
Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon,

Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain,
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon,

Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolo'n Pe .........
Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon..

Kuch tum se mohabat aisi thi.

Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye..!.

kisi ko Alvida kehna bohat taklif deta hai

kisi ko Alvida kehna bohat taklif deta hai.
umeedain toot jati hain.
yaqeen pe beyaqeni ka geher kuch aesa charta hai.

dikhi kuch nahi deta.
bujhai kuch nahi deta.

Dua k lafz honton par musalsal kapkapate hain.
kisi khowaish k andeshe Zehan me dorr jate hain.

Gumaa kuch aesa hota hai k jaise mil na payen ge.
ye ghehere Zakham furqat k kisi se sil na payen ge.

kabhi aesa bhi ho ya "Rab" duwain man le sari.
Tu koi mujza kar de Tu aesa kar bhi sakta hai.

Mere hathon ki janib dekh
inhain Tu bhar bhi sakta hai.


Judai ki azziyat se mera dil ab bhi darta hai.

judai do ghari ki ho
to koi dil ko behlaye.
judai char pal ki ho to koi dil ko
samjhaye.
judai umer bhar ki ho to kia chara kry koi.?

k ik milny ki hasrat mein bhala kb tak jiye koi.?

Mere maula! Karam kr dy
Tu aisa kr bhi sakta hai.
Mere hathon ki janib dekh
inhain Tu bhar bhi sakta hai.

Kabhi Hum Bhi Mohbbat Mein Apne Aap Ko Badsha Samjhte Thy

Kabhi Hum Bhi Mohbbat Mein Apne Aap Ko Badsha Samjhte Thy dost...

Pata Tab Laga Jab hum Wafa Mangte Rahe Faqeeron ki Tarah..

Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain

Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,

Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,

Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,

Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,

Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain..

Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar

Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar

Dil Nay Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi K Bad ...

Muhabbaton Pe Bahut Itmaad Kiya Karna

Muhabbaton Pe Bahut Itmaad Kiya Karna,
Bhula Chuke Hain Ussay Phir Se Yaad Kiya Karna,

Wo Be-Wafa Hi Sahi Uss Pe Tuhmatain Kaisi ?
Zaraa Si Baat Pe Itna Fasaad Kiya Karna,

Mukhalifon Se To Mumkin Hai Dosti Apni,
Munafiqon Se Magar Itehaad Kiya Karna,

Nigaah Mein Jo Utarta Hai Dil Se Kiyon Utray,
Dil-o-Nigaah Mein Paida Tazaad Kiya Karna,

Mein Iss Liye Ussay Ab Tak Na Chho Saka MoHsiN ,
Wo Aaina Hai Ussay Sang-Zaad Kiya Karna,

Farz Karo

Farz Karo Tum Kuch Na Pao.
Apna Aap Luta Kar Bhi.

Farz Karo Koi Mukar Hi Jaye.
Sachi Qasam Utha Kar Bhi.

Farz Karo Ye Farz Na Ho.
Sachi Ik Haqeeqat Ho.

Tere Ishq K Har Rastay Pe.
Jana Ik Qayamat Ho.

Aur Suna Hai K Ye Qayamat.
Khoon Jigar Ka Peeti Hai.

Tum To Jaana'n Farz Karo Gi.
Mujh Par Ye Sab Beeti Hai.

TeRe KeHnaY Pe LaGayi Hai

TeRe KeHnaY Pe LaGayi Hai Yeh MeHnDi Main Ne

EiD PaR Ab Na Tu Aya Tu Qayamat Hogi

Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola Tabeeb

Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola Tabeeb

Jaa Deedar Kar Us Ka Jo Teray Har Marz Ki Dawa hai.

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar K

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar K,
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K,

Kuch Is Liye Bhi Apna Asasa Hai Sirf Yad,
Dono Jahan Phaink Diye Tujh Pe War K,

Yak Dam Hi Aa Gia Jo Kisi Dosre Pe Dil,
Ye Faisle To Hote Nahi Akhtiyar K,

Dil Ko Tumhare Dard Ne Chaira Kuch Is Tarha,
Jaise Kisi Ne Chair Diye Sur Sitaar K,

Hum Khasta Tan Thay Aaj Se Hum Hain Berhana Tan,
Le Phank Diye Hum Ne Tere Gham Utar K.................!

MuJhe ZiNdaGi MeIn tuMaHaRi ZaRoRaT Ho Gi

MuJhe ZiNdaGi MeIn tuMaHaRi ZaRoRaT Ho Gi
Ye ChaNd LaMho Ki NaHi Umer Ki RaFaQaT Ho Gi


TeRe KhEnE PaR LaGai Hai Ye MehnDi MeIn Ne
Too AgAr EiD PaR Na AaYa To QaYaMaT Ho Gi

SuNo TuM MeRe DiL Se HaRgIz MaT KhelNa WarnA
PhIr KiSi Ko kiSi Se Na KaBhi MoHabbAt Ho Gi


MeIn TeRi YaAdOn Se Jan TaK WaZOO Na KaR LoOn
MuKaMaL Na KaBhi MeRi Bhi IbaDaT Ho Gi


Too Ne Is EiD Par Bhi GaR ApNa WaDa Na kYa pUrA
FaRhaN tuJhe ApNe WaDon PaR BaHoT NadaMat Ho Gi 

Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de

Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de
Ye chiragh phir bhi chiragh hai kahin tera haath na jala na de

Naye daur ke naye khwab hein naye mausamon ke gulaab hein
Ye mohabbaton ke chiragh hein inhen nafraton ki hawa na de

Zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab
Tira naam likkha hai ret par koi leher aake mita na de

Main udaasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jan ke mazar par
Na diye jalen miri aankh mein mujhe itni sakht saza na de

Mire saath chaIne ke shauq mein badi dhoop sar pe uthayega
Tira naak naqhsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de

Main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karun
Miri saltanat mira fun rahe mujhe taj-o-takht khuda na de

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai
Bikharta phool hun mujhko hawa se chot lagti hay

Miri aankhon mein aansu ki tarah ek raat aajao
Takalluf se, banawat se, ada se chot lagti hai

Main shabnam ki zaban se phool ki aawaz sunta hun
Ajab ahsas hai apni sada se chot lagti hai

Tujhe khud apni majboori ka andaza nahin shayad
Na kar ahde wafa ahde wafa se chot lagti hai

Ab to jaate hain but-kade se Mir

ab to jaate hain but-kade se 'mir'
phir milenge agar ḳhuda laaya

Aag the ibtida-e-ishq men ham

aag the ibtida-e-ishq men ham
ab jo hain ḳhaak intiha hai ye

Aye Chand Tu Bhool Jayga

Aye Chand Tu Bhool Jayga Gharur se Chamakna..!!

Jis Roz Dekhe Ga tu ik Jhalak Mere CHAND Ki..!!

Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Hum aur bul-bul-e-betaab guftagu karte
Peyum-bar na muyasar hua to khoob hua
Zabaan-e-gair se kya sher ki aarzoo karte
Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte
Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
Aseer honay ke aazad aarzoo karte
Na pooch aalam-e-bargashta taali’-e-Aatish
Barasti aag main jo baraan ki aarzoo karte

Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai

Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai
Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai,

Main Itna Pyar Deta Tujhe Jan-E-Arzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai,

Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye
Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai,

Main Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum
Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai,

Tum Jo Rooth Jate Mujh Se Kisi Bat Pe
Main Tumhein Manata Bare Pyar Se,

Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Kehte
Hai Nahi Koi Kmi “jaan” Tere Pyar Main.

Khayalon Mein Bhtak Jana

Khayalon Mein Bhtak Jana,
Teri Yaadon Mein Kho Jana

Bohat Hi Mehnga Para Ham Ko,
Sitam Gar Tera Ho Jana

Mohabbat Bheek Nahi Hai

Chahat k Kashkool Utha Kar
Ranj O Alm K Dhool Baja Kar

Dar Dar Phirna Thik Nahi Hai
Suno Mohabbat Bheek Nahi Hai.

Koi Jannat Ka Talib Hai Koi Gham Se Pareshan Hai

Koi Jannat Ka Talib Hai Koi Gham Se Pareshan Hai,

Zaroorat Sajda Karwati Hai Ibadat Kaun Karta Hai

Waqt Se Naraz Hu Main

Tujh Se Nahi Waqt Se Naraz Hu Main,,

Jo Kabhi Tumko Mere Liye Nahi Milta…!!!

Baat karty raho humsay

Baat karty raho humsay Ke aksar jee nahi lagta.

Tumhary raabton se zindagi Mehsoos hoti hai..!

Ek Zara Si Baat

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash,

Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai...!

Main Ne Chaha Tha Usay

Dil ki khamoshi se saanson k Theher jane Tak,

Yaad Aye ga Mujhy Wo Shakhs Marr jane Tak.

Us Ne Ulfat k bhi Paimaanay Bana Rakhe thay,

Main Ne Chaha Tha Usay Hadh Se Guzar Jane tak..!!

Eid Ka Tohfa

Main Bhi Aaya Hon Tumhein Eid Ka Tohfa Dene,

Apni Palkon Pe Sajaye Huye Ashko Ke Chiragh.

Phool sa khuch kalaam aur sahi

Phool sa khuch kalaam aur sahi
Ek ghazal uske naam aur sahi

Uski zulfen bahut ghaneri hein
Eik shab ka qayaalll aur sahi

Zindgi key udaas qissey me in
Eik ladki naam aur sahi

Kursiyon ko sunaiye ghazlen
Qatl ki ek shaam aur sahi

Kanpkapati hai raat seene mein
Zehr ka eik jaam aur sahi

Khuda ham ko aisy khudai na de

Khuda ham ko aisy khudai na de
Ke apne siwa khuch dikhai na de

Mujhe aisi jannat nahin chahiye
Jahan se madina dikhai na de

Mujhe apni chadar mein yun dhanp lo
Zamin aasman kuchh dikhai na de

main ashkon se naame Mohammad likhun
Qalam chheen Ie roshnai na de

Ghulami ko barkat samajhne lagen
Aseeron ko aisi rihai na de

Khuda aise ahsaaas ka naam hai
Rahe saamne aur dikhai na de

Angrai bhi woh lene na paye utha ke hath

Angrai bhi woh lene na paye utha ke hath
Dekha jo mujh ko chor diye muskura ke hath

Yeh bhi naya sitam hai hinna to lagaen gair
Aur iski dad chahein woh mujh ko dikha ke hath

Qasad! tere bayan se dil esa tehar gya
Goya kisi ne rakh dia sinay pe aa ke hath

Kuchy se tere uthain tou phir jaen kahan
Bethy hain ye tou dono jahan se utha ke hath

Dunya woh iska sagar myy yaad hai nazam
Munh phair ka idhar ko udhar ko barha ke hath

Hai ajeeb shahr ki zindagi

Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai
Kahin karobar si dophar kahin badmizaj si shaam hai

Kahan ab duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai

Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahin be gharaz use aapse koi kaam hai

Wo dilom mein aag lagaayega mein dilon ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khyal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai

Koi naghmadhoop key gaon sa koi naghma shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai

Wo ghazal walon ka usloob samajhte honge

Wo ghazal walon ka usloob samajhte honge
Chand kahte hein kise khoob samajhte honge

Itni milti hai miri ghazlon se sutat teri
Log tujh ko mira mehboob samjhte honge

Dekh kar phool key safhaatpe shabnamkuchh log
Mera ashkon bhara maktoob samajhte honge

Bhool kar apna zamana ye buzurgane jadeed
Aaj ke pyar ko mayoob samajhte honge

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha
Kishti ke musafir ne samandar nahin dekha

Bewaqt agar jaunga sab chonk padenge
Ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha

lis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
Aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha

Ye phool mujhe koi wirasat mein mile hein
Tumne mira kanton bhara bistar nahin dekha

Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala
Main mom hun usne mujhe chhoo kar nahin dekha

Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna

Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .

saari umar mohabat me katti hai

Sochoon to saari umar mohabat me katti hai,
Dekhoon to ik shakhss bhi mera nahi huaa.

Muhababt kam nahi hoti

Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Zamana is k aagay aahni dewar ban jaye

Aur us ki haath ik talwaar ban jaye
Muhabbat dar nahi sakti Daranay se

Nahi mitti mitanay se
Muhabbat ki banti nahi zamanay se

Ye apni jaan de kar bhi kabhi bedam nahi hoti
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Kabhi ye heer ka joban kabhi ranjhay ki wanjili hai
Kabhi khaaro’n bhara rasta, Kabhi ye phool jangli hai

Kabhi sheeree’n ki betabi, kabhi farhaad ka taisha
ye kuch kuch shehed jesi hai, maza hai is mein sam jaisa

Junoo’n hai qais ka, laila ki ye waraftagi hai
Khudi ka bhaid hai is mein

Muhabbat be-khudi bhi hai
Muhabbat hai khuda jesi, khudaai is mein shaamil hai

Sitara mat kaho is ko, muhabbat maah-e-kaamil hai
Aur is ki lou kabhi madham nahi hoti.
Koi jitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Jo zindagi thi meri jaan

Jo zindagi thi meri jaan! tere saath gai. . !
Bus ab tou umer k naqshay mein wakt bharna. . !

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh 
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KhaRe Woh 
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat 
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN 
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna 
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye 
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!

Chor gaya

Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya

Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya

Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya

Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya

MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin,  kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai

Haal us Said ka,  sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai

Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?

Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!

Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai

‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai

Kisi ka dard ho  dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai


Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate haiN
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai


Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiN
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai


Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai


Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karuN
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai

Jurm E inkaar ki sazaa hi de

Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii
Sach hai yaro khataa hamiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma hamiN se huii

Ham se pehle zameen E shehr E wafa
Khaak thi, keemiyaa hamiN se huii

Kaun uThata shab E firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa hamiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa hamiN se huii

Sitam E naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua hamiN se huii

Sa’yi – tajdeed E dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha hamiN se huii

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho

Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey
Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho

Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy
Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho

Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun
Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho

Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye
Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho

Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaii'ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
To kyaa hua jo ham se zammana badal gaya

Qadmon talay jo reit bichhi thi wo chal pari
Us ne churaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya

Ik sarkhashi ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan
Pardaa uthaa to saara tamasha badal gayaa

Hairat se saare lafz usey dekhte rahe
Baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya

Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Is ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gaya

Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha wo
Manzil kay paas aa ke jo rasta badal gaya

Qaayem kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
Aitabaar kho gayi kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asl mein saaya tha rang ka
Jis ne use jidhar say bhi dekha, badal gaya

Andar ke mausmoun ki khabar us ko ho gayi
Us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye
Wo muskuraya aur meri duniya badal gaya

Apni galii mein apna hi ghar dhundte hain log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gaya!

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn,

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do,

K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The.

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.

Cigrette Aur Tumhari Yaadein

Mein Cigrette Ko Hatheli Par
Ulat Kar Khali Karta Hoon

Phir Us Mein Daal Kr Yaadein
Tumhari Khoob Malta Hoon

Zara Sa Gham Milata Hoon
Hatheli Ko Ghumata Hoon

Basa Kr Tujh Ko Saanson Mein
Mein Phir Cigrette Banata Hoon

Lga Kr Apne Honton Se
Mohabbat Se Jalata Hoon

Tuje Sulgaa Ke Cigrette Mein
Mein Tere Kash Lagata Hoon

Dhuan Jab Mere Honton Se
Nikal Kar Raqs Krta Hai

Mere Chaaron Taraf Kamre Mein
Tera Aks Banta Hai

Main Us Se Baat Karta Hoon
Wo Mujh Se Baat Karta Hai

Yeh Lamha Baat Karne Ka Bada
Anmol Hota Hai

Teri Yaden Teri Batain
Bada Mahol Hota Hai...!!!!

kya shahr-e-mohabbat men hajjam nahin hota

baal apne baḌhate hain kis vaste divane
kya shahr-e-mohabbat men hajjam nahin hota

ashiqi ka ho bura us ne bigaḌe saare kaam

ashiqi ka ho bura us ne bigaḌe saare kaam
ham to a b men rahe aghyar B.A. ho gaye

aaj bose un ke gin gin ke liye

aaj bose un ke gin gin ke liye
din ginā karte the is din ke liye

Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya

Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.
Kal Phir Woh Mere Sheher Mein Aa Ker Chala Gya.

Jis Se Dhoondta Raha Main Lougon Ki Bherr Mein.
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Gya.

Main Oski Khamoshi Ka Sabab Poochta Raha.
Woh Qisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gya.

Yeh Sochta Hoon Kese Bhulaaoon Ga Ab Osse.
Aek Woh Jo MujhKo Bhula Kar Chala Gya.

Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Aik Yeh Bhi Zamana Hai Aik Woh Bhi Zamana Tha.

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.


Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha.

Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha.

Magar ab 'Chaye' peeta hun

Boht arsa hua ik din Bataya tha mujhe US ne. 
Banana kuch nahi aata! 
Agar Main kuch banati hun To bus "Chaye" banati hun. 
Peeo ge na ? 
0r Main is baat par muskurata hi raha tha! 
K banana kuch nahi aata Banati ho to bus "Chaye". 
Mujhe "Chaye" se uljhan hai Nahi peeta Nahi peeta. 
0r ab is baat ko guzre zamaney ho gaye kitne. 
Nahi maloom mujko k Wo kesi hai ? Kahan pe hai ? 
Magar ab 'Chaye' peeta hun. 
Barri kasrat se peeta hun. 
Barri hasrat se peeta hun..!!

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…

ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

musalmanon mein khun baqi nahin hai

mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai

safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai

ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai

namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta,
Kah main khud tou hoon Iqbal apnay nukta chinoon main..

Akal ayyaar hai, sau bhaiss bana leti ha

Akal ayyaar^ hai, sau bhaiss bana leti hai,
Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem..

[^ayyaar = clever]

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz,
Jis ko bhoolen woh sadaa yaad aye..

Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya

Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya,
Apni tasveer puraani se pata chalta hai..

Be-sabab zalzala aalam main nahin ata...

Be-sabab zalzala aalam main nahin ata,
Koi betaab teh-khaak tarrapta hoga..

Mohabbat kya ho akhir tum

Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharnay ke paani ka dilkash saaz hai koi,

Mujhe aksar yeh lagta hai mohabbat raaz hai koi,
Samajh se baala ik awaz hai koi,
Phir is raaz se parda uthaane ko,
Sabi ehsas ke dhaaron ko milaya maine,
Aur dheere se mohabbat se bass itna kaha,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Mohabbat kya ho akhir tum,
Kisi majnoon ka pagalpan,
Kisi farhaad ka taisha,
Kisi sassi ka sehraa ho,
Kisi punnu ki bechaini,
Kisi sohni ka gharra ho,
Junoon haizi ho tum,
Ya phir junoon haizi ki rahbar ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Batao na kisi mastaanay ki masti ho,
Kisi sufi ka sajda ho,
Kisi zahid ka taqwa ho,
Kisi bhale ke ghunghruu ho,
Kisi mufti ka fatwa ho,
Koi uljhan ho tum ya koi suljhi hui shay ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Kisi waris ki heer ho,
Kisi saif ki jheel ho,
Tum kis raste ki rahbar ho,
Be-nishan ho ya phir koi nishan-e-manzil ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Koi mai-khana ho tum,
Ya kisi mai-khane ka jaam ho,
Koi pathar ki murat ho,
Koi masjid ya mandir ho,
Kisi deewane ka raqs ho,
Ya phir mast dhamaal ho,
Andheri raat main jugnu,
Ya phir subah ka sitaara ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Kisi ki ankh ka paani ho,
Ya khush-rang kahani ho,
Kisi ki thandi aah ho,
Ya tum koi dilkash hansi ho,
Tapti dhoop main saya,
Ya phir december ki dhoop ho,
Mohabbat ka ho akhir tum,

Bohat socha tab mere dil se sadaa ayi,
Mohabbat dil pe ilhaam ki surat,
Bohat dheere se utarti hai,
Kahin andar panapti hai,
Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharne ke paani ka dilkash saaz hai koi,
Mohabbat deen hai ya phir tayaag hai koi,
Kisi kache gharre ka raaz hai koi..

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll