Main rootha to wo mana kr chal diya,

Main rootha to wo mana kr chal diya,
Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya,

Ye such hai k wo Ehd-shikn tha,
Magar kuch waday b nibha kr chal diya,

Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat,
Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya,

Milna na milna NASEEB ki baat hai,
Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya,

Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum,
Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...

RooThA ThA JiS GaRoOr Se WoH Bhi Tu YaAd KaR

RooThA ThA JiS GaRoOr Se WoH Bhi Tu YaAd KaR

AaNkHoUn MAIn TeRi AaJ YeH AaNsOo FaZooL HaIn

Mehndi unke haathon mein lagado yaaron

Mehndi unke haathon mein lagado yaaron,
Mujhko bhi asal raah dikhado yaaron,

Pehna k mujhko meri hi ghurbat ka kafan,
Un pe surkh joda saja do yaaron,

Naam likh do unka khushiyon ki deewar par,
Mera naam-o-nishaan duniya se mita do yaaron,

Waqt aakhri hai,teri duniya mein is deewane ka,
Ho sake to mere mehboob ko batado yaaron,

Suna hai aaj,uski doli is gali se guzar jaayegi,
Uski doli se pehle is deewane ko duniya se mita do yaaron

Bahut Deir Kar Di

Bahut Deir Kar Di Tum Ne
Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein,
Mujhe Pane Mein Mujhe Se Pyar Karne Mein,
Ab Kuch Nahi Ho Sakta,
Amanat Hon Mein Kisi Aur Ki,
Guzar Gia Waqt Kia Rakha Hai,
Ab intzaar Karne Mein,
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,
Main Ye Iqrar Nahi Karon Gi,
Kahein Dil Na Toot Jaye Tumhara Ye iqraar Karne Mein,
Tum Mujhe Bhool Jao,
Ye Iltaja Hai Tum Se Meri,
Zindagi Youn Barbad Na Karo,
Apni Aashk Baar Karne Mein,
Na Karna Tum Mujhe Yad,
Na Main Yad Karon Gi,
K Bahut Takleef Hoti Hai,
Yad Kisi Ko Bar Bar Karne Mein..........! 

Itna to mere haal par ehsan kiya kar

Itna to mere haal par ehsan kiya kar !

Aankhon se mera dard pehchan liya kar !

Kuch saath de safar mein bohat thak gaya hoon mein !

Kuch pal hoon tere sath meri maan liya kar !

Afsane Mohabbat k adhure na chor tu !

Jurm-e-Wafa ka mujhse har beyan liya kar !

Mud'dat hoi is aas par thehre howa hoon mein !

Bhoolay se kabhi TU B MERA NAAM LIYA KR !

Apni zat se wabasta kar mujhe !

Ho kar KHAFA mujhse meri yon na jaan liya kar...

Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat

Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat...

Kahin Chahtain Bik Rahin Hain, Kahin Log Badal Rahay Hain...

Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar

Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar

Dil Nay Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi K Bad ...

Farz Karo

Farz Karo Tum Kuch Na Pao.
Apna Aap Luta Kar Bhi.

Farz Karo Koi Mukar Hi Jaye.
Sachi Qasam Utha Kar Bhi.

Farz Karo Ye Farz Na Ho.
Sachi Ik Haqeeqat Ho.

Tere Ishq K Har Rastay Pe.
Jana Ik Qayamat Ho.

Aur Suna Hai K Ye Qayamat.
Khoon Jigar Ka Peeti Hai.

Tum To Jaana'n Farz Karo Gi.
Mujh Par Ye Sab Beeti Hai.

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar K

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar K,
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K,

Kuch Is Liye Bhi Apna Asasa Hai Sirf Yad,
Dono Jahan Phaink Diye Tujh Pe War K,

Yak Dam Hi Aa Gia Jo Kisi Dosre Pe Dil,
Ye Faisle To Hote Nahi Akhtiyar K,

Dil Ko Tumhare Dard Ne Chaira Kuch Is Tarha,
Jaise Kisi Ne Chair Diye Sur Sitaar K,

Hum Khasta Tan Thay Aaj Se Hum Hain Berhana Tan,
Le Phank Diye Hum Ne Tere Gham Utar K.................!

Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de

Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de
Ye chiragh phir bhi chiragh hai kahin tera haath na jala na de

Naye daur ke naye khwab hein naye mausamon ke gulaab hein
Ye mohabbaton ke chiragh hein inhen nafraton ki hawa na de

Zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab
Tira naam likkha hai ret par koi leher aake mita na de

Main udaasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jan ke mazar par
Na diye jalen miri aankh mein mujhe itni sakht saza na de

Mire saath chaIne ke shauq mein badi dhoop sar pe uthayega
Tira naak naqhsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de

Main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karun
Miri saltanat mira fun rahe mujhe taj-o-takht khuda na de

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai
Bikharta phool hun mujhko hawa se chot lagti hay

Miri aankhon mein aansu ki tarah ek raat aajao
Takalluf se, banawat se, ada se chot lagti hai

Main shabnam ki zaban se phool ki aawaz sunta hun
Ajab ahsas hai apni sada se chot lagti hai

Tujhe khud apni majboori ka andaza nahin shayad
Na kar ahde wafa ahde wafa se chot lagti hai

Khayalon Mein Bhtak Jana

Khayalon Mein Bhtak Jana,
Teri Yaadon Mein Kho Jana

Bohat Hi Mehnga Para Ham Ko,
Sitam Gar Tera Ho Jana

Waqt Se Naraz Hu Main

Tujh Se Nahi Waqt Se Naraz Hu Main,,

Jo Kabhi Tumko Mere Liye Nahi Milta…!!!

Baat karty raho humsay

Baat karty raho humsay Ke aksar jee nahi lagta.

Tumhary raabton se zindagi Mehsoos hoti hai..!

Ek Zara Si Baat

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash,

Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai...!

Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna

Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .

saari umar mohabat me katti hai

Sochoon to saari umar mohabat me katti hai,
Dekhoon to ik shakhss bhi mera nahi huaa.

Jo zindagi thi meri jaan

Jo zindagi thi meri jaan! tere saath gai. . !
Bus ab tou umer k naqshay mein wakt bharna. . !

Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaii'ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
To kyaa hua jo ham se zammana badal gaya

Qadmon talay jo reit bichhi thi wo chal pari
Us ne churaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya

Ik sarkhashi ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan
Pardaa uthaa to saara tamasha badal gayaa

Hairat se saare lafz usey dekhte rahe
Baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya

Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Is ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gaya

Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha wo
Manzil kay paas aa ke jo rasta badal gaya

Qaayem kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
Aitabaar kho gayi kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asl mein saaya tha rang ka
Jis ne use jidhar say bhi dekha, badal gaya

Andar ke mausmoun ki khabar us ko ho gayi
Us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye
Wo muskuraya aur meri duniya badal gaya

Apni galii mein apna hi ghar dhundte hain log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gaya!

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn,

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do,

K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The.

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll