99 names of Allah

There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Ar Rahman, Ar Raheem, Al Malikul, Quddoos
As Salaamul, Muminul, Muhaiminul, ‘Azeez
Al Jabbarul, Mutakabbirul, Khaliq
Al Bariul, Musawwirul, Gaffarul, Qahhar
There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Al Wahhabur, Razzaq, Al ‘Aleemul, Fattah
As Samee’ul, Baseer, Al Lateeful, Khabeer
Al Gafoorul, Haleem, Ash Shakoorul, ‘Azeem
Al ‘Aliyyul, Kabeerul, Hafeezul, Kareem

There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Al Muqeetul, Haseeb, Ar Raqeebul, Qareeb
Al Wasi’ul, Hakeemul, Wadoodul, Mujeeb
Al Wakeelush, Shaheed, Al Haqqul, Majeed
Al Qawiyul, Mateenul, Waliyul, Hameed
There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Al Hayyul, Qayoom, Al Wahiduz, Zahir
Al Ahadus, Samadul, Awwalul, Akhir
Al Batinul, Walee, Al Muta’alee
Al Jami’ul , Ganniyun, Noorul, Hadee
There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Al Afuwwur, Ra’oof, Al Akramush, Shakir
Al Barrut, Tawwabul, Muqtadirul, Qadir
Ar Rabbul, Badee’ Al Mubeenul, Qadeer
Al Kafeelul, Hafizul, Maleekun, Naseer
There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman
Al Khallaqul, Mawla, Al ‘Allamul, Ilah
Al Muheetul, Mannan, Al Hafiyyul, Musta‘an
A Qahir, Al Gafir
Al Jaleel, A’la, Al Fatir
Ar Rafee’ul, Muhyee, Galibul, Kafee
Al Warisul, Mumeetul, Ba’isul, Baqee
There are 99 names of Allah, Asma’ullah ulhusnaa
They are mentioned in the Holy Qur’an, La ilaha Illa huwar Rahman

Allah ke Huzoor me sar ko jhukaa ke dekh


Allah ke huzoor mein sar ko jhuka ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajday mein ja ke dekh
Woh kushnaseeb hai, jise manzoor hai namaz x2
Momin ki paak rooh ka ik noor hai namaz
Shaitan ki bohat say bohat door hai namaz
Dil ko Khuda ki yaad ka maskan bana kay dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2
Barkat hazar saath hai lati hai yeh namaz x2
Jalwa Khuda ka saath dekhati hai yeh namaz
Bande ko apne Rab say milati hai yeh namaz

Milna hai agar Khuda say, musalah bicha ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2
Munkir Nakeer qabr mein poochein gay jab hisaab x2
Day gi namaz khud hi namazi ka sab jawab
Mitt jaye ga namaz say sab qabr ka azab
Uss Rab ul Alameen say toh loh laga ke dekh
Milta hai kiya namaz main, sajda main ja ke dekh x2
Uss Rab e Zuljalal ki marzi namaz hai x2
Bakhshish ki aur najat ki sirhi namaz hai
Darwaza e Bahisht ki kunji namaz hai
Sab kuch mile ga khud ko namazi bana ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2
Woh Rab ul Alameen hai, Mukhtar hai wohi
Rehman hai, Raheem hai, Ghafar hai wohi
Beshak teri namaz ka haqdar hai wohi
Naraz ho na jaye, ooh bande Khuda ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2
Allah ke Huzoor sar ko jhuka ke dekh x2
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh

Kyun kar na meray dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki

Kyun kar na meray dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,
Jannat mein lay kay jaey ghi chahat Rasool (SAW) ki.
Chalta hoon mein be qafelay walo ruko zara,
Milnay do bus mujhay bhi ijazat Rasool (SAW) ki.
Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasul (SAW) ki,
Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.
Phochain jo deen-o-iman Nakerain qabr mein
Us waqt meray lab pay ho midhat Rasool (SAW) ki.
Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.
Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,
Qabr mein Sarkar (SAW) aayein to mein qadmoon mein giroon,
Gar farishtay bhi uthaein to mein unsay yoon kahoon,
Ab to paye naaz say mein aye farishto kyon uthoon,
Mar kay pohncha hoon yahan is dilruba kay wastay.
Tarpa kay un kay kadmoon mein mujh ko gira day shok,
Jis waqt ho lahad mein ziyarat Rasool (SAW) ki.
Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.
Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,
Sarkar (SAW) nay bula kay Madina dikha dia,
Ho ghi mujhay naseeb, shafa’at Rasool (SAW) ki.
Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.
Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,
Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib (SAW),
Ik bar to aata ho ziarat Rasool (SAW) ki.
In ankh ka warna koi hasrat hi nahin hai,
Sarkar (SAW) tumhara woh khazaiba nazar aaye,
Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib (SAW),
Ik bar to aata ho ziarat Rasool (SAW) ki.
Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.
Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,
Damen mein un kay lay lo pannah aaj munkiro,
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool (SAW) ki.
To hai ghulam un ka Ubad-e-Raza teray,
Mahshar mein ho ghi saath himayat Rasool (SAW) ki.
Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool (SAW) ki.
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasul (SAW) ki.

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ataa Kar Tu Shaan e Kareemi Ka Sadqa
Aata Ker De Shaan e Rareemi Ka Sadqa
Na Maangon Ga Tujhse To Mangoon Ga Kis Say
Tera Hon Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ata Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Mareezon ki Khatir Shifaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Jo Naadar Hain Kuch Nahi Jin ke Pallay
Unhen Bhi Dikha De Haram ke Tu Jalwe
Hazoori Ho Sab ki Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Woh Tanke Bharaktay Sharare Bhuja Day
Issay phir akhuwat ka gulshan bana de
Mein amno amman ki rida mangta houn
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Tujhe Wasta Panjtan Ka
Ho Shaadab Ghuncha Diloon Ke Chaman Ka
Main Sadqa e Ghaus ul Wara Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara
Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
Dassan ki main Mustafa di kaydi sohnii shaan hai
Aap di tareef which sara hee Qur’an hai,
Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara
Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
Eyda sohna Nabi koi duniya tay aaya nahin
Yaar ey ho jiyaa koyi Rab nay banaya naheen,
Deed meray Nabi di hai Rab da nazaara
Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
Denday nay gawahi zaray zaray koay toor day
Wekhday naseeban walay jalway Hazoor day,
Aamina da chan tay Halima da dhulara
Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
Kar kay ishara sohna suraj noon morda
Aapay chaan torda tay aapay chan jorda,
Bigari banaway meray Nabi da ishaara
Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
Kehndi aye Heleema mukh wekh lajpal da
Lab kay leyawaan kithoon sohna teray naal da,
Aamina da chan tay Halima da dhulara
Chohdween da chaand tay arshaan da tara
Qasam Khuda di mainoon sub naloon pyara.
Kaliyan zulfan wala dukhi dilaan da sahara.
Kalian zulfan vala duky dilan daa sahara.

Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai

verse1:
Anokhi waza hai sare zamane se nirale hain,
Yeh aashiq kaunsi basti ke Ya Rab (SWT) Rehne Wale Hain.
انوکھی وضع سارے زمانے سے نرالے ہیں
یہ عاشق کونسی بستی کے یا رب، رہنے والے ہیں
Strange is the nutrition, (they are) apart from the whole world
These lovers, O Lord, to which town do they belong…
Verse 2:
Jahan mein hain ibrat kay har so namunay,
Maghar tujh ko undha kiya rang-o-buu nay,
Kabhi ghor say bhi yeh dekha hai tunay?
Jo aabad thay woh mahal abb hain sunay.
جہاں میں ہیں عبرت کے ہر سُو نمونے
مگر تجھ کو اندھا کیا رنگ و بُو نے
کبھی غور سے بھی دیکھا ہے تو نے
جو معمور تھے وہ محل اب ہیں سُونے

Many examples are there of taking heed in the world
But the sight and sound has made you blind..
Have you ever pondered on this aspect?
The castles which were once liven in are now deserted
Verse 3:
Jaga Jee Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…
Verse 4:
Mile khaak main ahl-e-shaan kaise kaise,
Makeen ho gaye la makaan kesay kesay,
Hue name-war pe nishaan kaise kaise,
Zamin khagayi nojwaan kaisay kaisay.
ملے خاک میں اہلِ شاں کیسے کیسے
مکیں ہو گٔیٔے لا مکاں کیسے کیسے
ھؤے ناموَر بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گٔیٔ نوجواں کیسے کیسے
Many people of status have now mixed with earth
Many with homes are now homeless
Many people of big name have become nameless
Many types of people have been engulfed by earth
Verse 5:
Ajal nay na kisra hi choda na dara,
Issi say Sikander safate behara(pe hara),
Har ek leke kya kya na hasrat sidhara,
Pada rehgaya sab yunhi thaat sara.
اجل نے نہ کسریٰ ہی چھوڑا نہ دارا
اسی پہ سکندر فاتح بھی ہارا
ہر ایک چھوڑ کے کیا حسرت سدھارا
پڑا رہ گیا سب یہیں کھاٹ سارا
Time did not leave Kisraa to be!
To this same “time” Alexander got defeated
Every one left behind their wishes and left
All that will be left here (in this world)
Verse 6:
Tujhay pehlay bachpan mein barsoon khilaya,
Jawani nay phir tujhko majnu banaya,
Burhapay nay phir aakay kia kia sitaya,
Ajal tera kerday gi bilkul sifaya.
تجھے پہلے بچپن میں برسوں کھلایا
جوانی میں پھر تجھ کو مجنوں بنایا
بڑھاپے نے پھر آ کے کیا کیا ستایا
اجل تیرا کر دے گی بالکل صفایا
First it made you play in the childhood
In the youth it made you a lover
Old age then troubled you so much
“Time” will clear you completely
Verse 7:
Yehi tujhko dhun hai rahoon sab say bala,
Ho zeenat nirali ho fashion nirala,
Jiya karta hai kia yoonhi mernay wala?
Tujay husnay zahir nay dhokay main dala.
یہی تجھ کو دھُن ہے رہُوں سب سے بالا
ہو زینت نرالی ہو فیشن نرالا
جیا کرتا ہے کیا یونہی مرنے والا؟
تجھے حسنِ ظاہر نے دھوکے میں ڈالا
You are over concerned that you stay above all
That you have definitive beauty and a definitive fashion
Is this the way anyone lives who (knows) he will die?
You got deceived with the apparent beauty
Verse 8:
Woh hau aish-o-eishrat ka koi mahal bhi?
Jahan taak mein har ghari ho ajal bhi,
Bus ab apnay is jehal say tu nikal bhi,
Yeh tarzay maeshat ab apna badal bhi.
وُہ ہے عیش و عشرت کا کؤی محل بھی؟
جہاں ساتھ میں کھڑی ہو اجل بھی
بس اب اس جہالت سے تُو نکل بھی
یہ طرزِ معیشت اب اپنا بدل بھی
Is that castle of lofty life even a castle
When there is “Time” standing next to it
Enough now! Come out of this ignorance
And change this way of earning of yours
Verse 9:
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko,
Hui wah kya cheez marghub tujhkom,
Nahin aqal itni bhi majzoob tujhko,
Samajh lena ab chahiye khoob tujhko.
یہ دنیأے فانی ہے محبوب تجھ کو
ہؤی واہ کیا چیز مرغوب تجھ کو
نہی عقل اتنی بھی مجزوب تجھ کو
سمجھ لینا چاہیے اب خوب تجھ کو
This finite world is beloved to you
Its amazing what (thing) has become your (means of) pleasure
Do you, O drowned one (in its endeavors) not have intelligence?
You should have understood it by now!
Verse 10:
Burr`hapay say paa kar payam-e-qaza bhi,
Na chaunka na cheeta na samnbhla zara bhi,
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi,
Junoon chor kar apnay hoshon main aa bhi.
بڑھاپے میں پا کے پیامِ قضا بھی
نہ چونکا نہ چیتا نہ سمبھلا ذرا بھی
کؤی تیری غفلت کی ہے انتہا بھی؟
جنون چھوڑ کر اپنے ہوش آ بھی
In the old age, even after realizing your destiny
You didn’t jolted, neither corrected your ways
Is there a limit to your ignorance..?
Leave this obsession and become aware!
Verse 11:
Jab is bazm say chal diye dost aksar,
Aur uthtay chalay ja rahay hain baraabar,
Har waqt paish-e-nazar hai yeh manzar,
Yahan par tera dil behelta hai kionkar.
جب اِس بزم سے دوست چل دیے اکثر
اور اُٹھے چلے جا رہے ہیں برابر
ہر وقت پیشِ نظر ہے یہ منظر
یہاں پر تِرا دل بہلتا ہے کیونکر
When all the friends have departed from this world
And continuously they are leaving still,
The view is in front of you as always..
Then (knowing all that) why does your heart is satisfied with it?
Verse 12:
Jahan main kahin shor-e-maatam bapa hai,
Kahin fikr-o-faqah say aah-o-baqa hai,
Kahin shikwa`jor-o-makr-o-dawa hai,
Gharz har taraf say yehi bas sada hai.
جہاں میں کہیں شورِ ماتم بپا ہے
کہیں فِکر و فاقہ سے آہ و بکا ہے
کہیں شکوہ جور و مکر و دغا ہے
ہر ہر طرف سے بس یہی صدا ہے
There are screams and cries all around the world
Some cry out of destituteness and some of hunger
Some complain of deceipt and fraud
From all corners, thus is all the calling…
Verse 13:
Jaga Ji Lagaanay Ki Dunya Nahi Hai,
Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai.
جگہ جی لگانے کی دنیا نہیں ہے
یہ عبرت کی جا ہے تماشہ نہیں ہے
World is not a place of heartly affiliations
This is a place of heed, it is not a jest…

darood o salam

Sehr ka waqt tha, sehar ka waqt hai,
Masoom kaliyaan muskurati hain,
Hawwaein khair e maqtam kay taranay gungunati hain,
Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi,
Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati thi,
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika.
Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika.
As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.

An Nabi Sallo Alaih








An Nabi Sallo Alaih
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
An Nabi Ya Halireen, Iilamoo Ilmal Yaqeen
Anna Rabbal Aalameen, Wa Rala Salla Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Kaabe Ke Badrud Duja, Tum Pay Karodon Durood,
Tayba Ke Shamsud Duha, Tum Pe Karodon Durood,
Shafiye Roze Jaza, Tum Pe Karodon Durood
Dafiye Jumla Bala, Tum Pe Karodon Durood.

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Ya Man Halar, An Nabi Khairul Bashar
Man Lahu Shaqqul Qamar, Wa Nazil Sallim Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Dil Karo Thandha Mera Wo, Kafe Pa Chaand Sa,
Seene Pe Rakdho Zara, Tum Pe Karodon Durood
Zaat Hui Intikhab, Wasf Hue La Jawab
Naam Hua Mustafa, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabi Dhakal Uroos, Dhikruhu Yuhyin Nufoos,
An Nasaara Wal Majoos, Aslamoo Ala Yadaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Be Hunar Be Tameez, Kiske Hue Hain Azeez
Ik Tumare Siwa, Tum Pe Karodon Durood
Aas Hai Koi Na Paas, Ik Tumaari Hai Aas
Bas Hai Yahin Aasra, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
Seena Ke Hai Daag Daag, Kehdo Karen Baag Baag,
Tayba Se Aake Saba, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabiyyul Mustafa, Ibn Zamzam Was Safa,
Man Taa’la Sharafa, Kulluhum Salla Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
An Nabiyyul Mujtaba, An Nabi Saakin Quba,
Hubbuhu Li Madhaba, Rabbana Salla Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Tum Se Jahan Ka Nizaam, Tum Pe Karodon Durood,
Tum Pe Karodon Sana, Tum Pe Karodon Durood,
Tum Ho Jawado Kareem, Tum Ho Rawoofo Raheem,
Bheek Ho Data Ataa, Tum Pe Karodon Durood,
Khalq Ke Haakim Ho Tum, Rizq Ke Qaasim Ho Tum,
Tum Se Mila Jo Mila, Tum Pe Karodon Durood,
Nafii Wo Dafii Ho Tum, Shaafii Wo Rafii Ho Tum,
Tum Se Bas Afzon Khuda, – Tum Pe Karodon Durood,
Shaafee Wo Naafee Ho Tum, Kaafee Wo Daafee Ho Tum,
Dard Ko Kardo Dawa, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
Barse Karam Ki Bharan, Bhoole Niam Ke Chaman,
Aysi Chala Do Hawa, Tum Pe Karodon Durood,
Kiyoon Kahoon Be Kas Hoon Main, Kiyoon Kahon Bay Bas Hun Main,
Tum Ho Main Tum Pe Fida, Tum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabi Dhaakal Maleeh, Qawaluhu Qawlu Saheeh,
Wal Quran Shaiun Faseeh, Alladee Unzil Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Karke Tumare Gunaah, Manghe Tumaari Panaa,
Tum Kaho Daaman Men Aa, Tum Pe Karodon Durood,
Ham Ne Khata Men Na Ki, Tum Ne Ataa Men Na Ki,
Koi Kamee Sarwara, Tum Pe Karodon Durood.
Aankh Ata Keejiye, Us Men Ziya Deejiye,
Jalwa Qareeb Aagaya, Tum Pe Karodon Durood
Kaam Woh Lay Leejiye, Tumko Jo Raazee Kare,
Theek Ho Naame Raza, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah,
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
Wal Hasan Tummal Husain, Lin Nabi Raihaanatain,
Fathima Qurrathu Ayn, Jadduhum Sallo Alaih.
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Ye Ubaid Adna Ghulam, Tera Hai Khairul Anam,
Waqt Midhat Keliye, Is Ki Ho Umr Tamam
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah,
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih.
An Nabi Sallo Alaih

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
Barse Karam Ki Bharan, Bhoole Niam Ke Chaman,
Aysi Chala Do Hawa, Tum Pe Karodon Durood,
Kiyoon Kahoon Be Kas Hoon Main, Kiyoon Kahon Bay Bas Hun Main,
Tum Ho Main Tum Pe Fida, Tum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabi Dhaakal Maleeh, Qawaluhu Qawlu Saheeh,
Wal Quran Shaiun Faseeh, Alladee Unzil Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Karke Tumare Gunaah, Manghe Tumaari Panaa,
Tum Kaho Daaman Men Aa, Tum Pe Karodon Durood,
Ham Ne Khata Men Na Ki, Tum Ne Ataa Men Na Ki,
Koi Kamee Sarwara, Tum Pe Karodon Durood.
Aankh Ata Keejiye, Us Men Ziya Deejiye,
Jalwa Qareeb Aagaya, Tum Pe Karodon Durood
Kaam Woh Lay Leejiye, Tumko Jo Raazee Kare,
Theek Ho Naame Raza, Tum Pe Karodon Durood.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah,
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
Wal Hasan Tummal Husain, Lin Nabi Raihaanatain,
Fathima Qurrathu Ayn, Jadduhum Sallo Alaih.
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih.
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah x2
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Ye Ubaid Adna Ghulam, Tera Hai Khairul Anam,
Waqt Midhat Keliye, Is Ki Ho Umr Tamam
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,
Wa Yanaalul Barakah, Kullu Man Salla Alaih.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah,
Ya Habeeballah Ya Habeeballah.
An Nabi Sallo Alaih, Salawathullah Alaih,

Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih.


Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu
Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon
Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon
Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon
Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon
Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu.

Ae Mot Thahar Ja

Ae Mot Thahar Ja, mein Madinay tay jalawaan
suta hoya naseeb tay main apna jaga lawaan.
Mehboob da oh Gunmbad e Khazra tay dekh lawan
sarkar (SAW) di gali day nazaray tay paa lawan.
Lagay nay Mustafa day qadam jis zameen tey
Eik wari oss khak noun seenay tay laa lavan.
Sunaya aye har gareeb di sunday oh zariyaan
Main vi tay apnay gham di kahani suna lavaan.
Jee bhar kay roo lawan Dar e Aqdas day samnay
Akhyaan noun guft gue da tareeqa sikha lawaan.
Away jay Peer mout tay aaway hazaar bar
AZAM jay zindagi di aye hasrat mita levan.
Aie mout thahar jaa, main Madinay tey jaa lavaan
Suta huya naseeb tay mein apna jaga lavan.

Aaj aaye nabiyon kay sardar

Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba,
Marhaba aye qafila salaar marhaba.
Amina kay dilbar o dildar marhaba,
Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba.
Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj,
Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba.
Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo,
Makki madni aye arabi sardar marhaba.
Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj,
Keh rahe hain mibar-o-minaar marhaba.

Bas gayi hai wadi-e-jaan mein naee mehek,
Teri aamad per shah-e-abrar marhaba.
Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor,
Kar raha hai piyaar se takraar marhaba.

Aa dil mein tujhay rakh loon


Bay khud kiye detay hain, andaaz e hijabana
Aa dil mein tujhay rakh loon, aie jalwa e janana
Kyun aankh milayi thi, kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chupa baithay, ker kay mujhay deewana.
Jee chahata hai touhfay mein behjoun main unhein aakhein
Kay darshan ka to darshan ho, nazranay ka nazrana.
Kyun aankh milayee thi, kyoon aag lagayee thi
Ab rukh ko chupa baitha kar key mujhay dewana.
Peenay ko to pee loun ga per arz zara si hai
Kay ajmer ka saaqi ho, baghdad ka maikhana.
Bedam meri kismat mein sajday hain usi ghar kay
Chota hai na choutay ga sang e dar e janana.
Aa dil main tujhe rakh loun….

Mera Dil Badal Dai

Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal day Mera rasta dil badal day
Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal day
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day

Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal day
Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day

Har Taraf Anwar Ki Barsat Hai

Har Taraf Anwaar ki Barsaat hai,
Mehfil e Sarkaar ki kkiya baat hai.
Har taraf anwar ki barsat hai,
Mehfil e Sarkaar ki kkiya baat hai.
Raat jo guzri Nabi kay zikr mein,
Din se behtar woh hamari raat hai.
Kyun mein mangoon jab mere kashkol main,
Naqsh e Naal e Pak ki khairaat hai.
Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye,
Shafa e Rauzay Jaza woh Zaat hai.
Wali e kaun o makaan kay zikr say,
Wajd mein yeh sari kainaat hai.
Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah,
Gumbad e Khazra teri kya baat hai.
Nausha e Bazme jina kay waaste,
Anbiya ki saf ba saf baraat hai.
Kis tarha likhoon main midhat Aap ki,
Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai.
Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu,
Teri bakhshish ka wasila Naat hai.
Har taraf anwaar ki barsaat hai,
Mehfil e Sarkar ki kya baat hai.

Hum gunahgaaron ka aye rab ke rasool

Hum gunahgaaron ka aye rab ke rasool
Sar e mehshar zara bharam rakhna
Kuch nahi hai sivaye jurm o gunaah
Apni ummat pe tum karam rakhna
Umr saari ganwai khelon me
Nahi sambhley jadey jhamelon me
Ab jo honsh aaya hai to kuch bhi nahi
Paas apne zara sharam rakhna
Sham’aa teri ne sambhala humein
Jab bhi bhatkey andheri raaton me
Vaastaa tujh ko teri rehmat ka
Ye karam hum pe har qadam rakhna
Naik aamal mere paas nahi
Ek naa hai ke tere paas nahi
Khul na jaye vahan ye raaz kahin
Sarey mehshar isey dafan rakhna
Jab chalun duniya se aye mere nabi
Hai dua ho jhuki ye meri jabeen
Or na maila ho qalb ye mera
Paak har daag se kafan rakhna
Tauba karta hai har gunahon se
Tera ‘ Mehboob ‘ tera shaidai
Ik nazar ho karam ki shah e umam
Ta-umar mujh pe ye karam rakhna

Aye Naseeb Mere Naseeb

Aye naseeb mere naseeb tu, Zara sabr rakh zara sabr kar
Wo bulayengey humein ek din, Jo nasheen hain arshon ke arsh per
Ke wo jaantey hain dilon ko bhi, Or jaante hain dilon ki bhi
Ke wo dilnasheen hain dilon ke bhi, Zara or dil se tu arz kar
Tu mariz e ishq e rasool hai, Or jah e naseeb ye marz hai
Wo tabeeb e aalam e marz hain, Kyun sisak raha hai tu marz per
Jo asar karey arshon ke paar, Tu suna kuch aisi kamal e tarz
Ja sisak tu fir usi tarz pe, Ke wo aayengey teri tarz per
Jo bhara hai daaman gunahon se, To kar tauba or ye aqeeda rakh
Dikha fir nadaamatein sajdey me, Wo jeelayengey tujhe hashr per
Yahi hasrat e ‘ Mehboob ‘ hai, Wo bulayein farsh e madina or
Karun aankhein apni me band udhar, So jaun fir usi farsh per

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll