Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola Tabeeb

Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola Tabeeb

Jaa Deedar Kar Us Ka Jo Teray Har Marz Ki Dawa hai.

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin,  kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

teri Yaad Mein Pal pal marta hai koi

teri Yaad Mein Pal pal marta hai koi
Har sans k sath tuje yad karta hai koi
Fursat mile tu Tanhai Mein Sochna
Kitni khamosh Mohbt Tum se karta hai koi.

KYA TUM BHI.!

KYA TUM BHI.! 
 Shaam ki dehleez pe aas ka deep jalatay ho
 Or kisi aawara patte ki aahat par
Darwaze ki taraf bhaage jatay ho
 KYA TUM BHI.!
Dard chhupane ki koshish karte karte
Aksar thak se jate ho
 Or bila wajah muskurate ho
 KYA TUM BHI.!
Neend se pehle palkon par dheron khawab sajate ho
Ya phir bistar par lait kar
Rotay rotay so jatay ho
KYA TUM BHI.!
kisi ko chahte ho

Koi dhoond aisa humsafar

'Koi dhoond aisa humsafar 
Jisey tu apna bana sakey ... 
Tu kahey k raat hy Or woh chandni luta sakey ... 
Tere ansuon ko woh samait le 
K koi na tujh ko rula sakey ... 
Teri raah me ho jo mushkilain 
Apni palkon se woh utha 
sakey ... 
Tujhe rakh le apne hisaar me 
K tujh ko na koi chura sakey... 
Woh ho tere itna qareeb k 
Kisi ki yaad b na tujhe aa sakey ... 
Haan ... 
'' Koi dhoondh aisa humsafar 
Jo Meri tarha tumhe chah sakey..

Bari Chah hai Dil ko Tujhe pane ki

Bari Chah hai Dil ko Tujhe pane ki
Tujhe Apna k tera ho jane ki
Meri Zaat k Raishe Raishe main Bikhar jae
Bht Haseen hai Ada tere Muskurane ki
Paas betho Hath mera thaam lo aur Qasam Uthao
Mujhe chor kar Kbhi na Jane ki!

Meri har Ek Ada mein chupi thi uski Mohabbat

Meri har Ek Ada mein chupi thi uski Mohabbat!
Usne Mehsus na kiya Ye Aur baat hai!
Main ne har dam uske he khwab deikhe!
Mujhe tabeer na mili Ye Aur baat hai!
Main ne jab bhi usse baat karna chahi!
Mujhe Alfaz na mile ye Aur baat hai!
Main uski Mohabbat k samander mein door tak nikla
Mujhe sahil na mila Ye Aur baat hai!
Qudrat ne likha tha usko meri taqdeer mein!
Uski qismat mein
Hum na "they" Ye Aur baat hai.

Agar Tum Pass Hote Tou

Agar Tum Pass Hote Tou,
Karam Ki Inteha Karte,
Tumhe Palkoo Pe Rakhte Hum,
Tumhe Dil Mein Basate Hum,
Agar Tum Rooth Jate Tou,
Tumhe Dil Se Manate Hum,
Tumhari Lagzishoo Ko Bhi,
Hansi Mein Urra Daite,
Agar Na Apni Khata Hoti,
Tou Khud Ko He Saza Daite,
Magar Yai Sub Jabhi Hota,
Agar Tum Pass Hote .....!

Ek Anjaan ko Mai Jaan-e-Tamanna Samjhu

Ek Anjaan ko Mai Jaan-e-Tamanna Samjhu
Sab Kahen Gair Hai Par Main Usse Apna Samjhu
Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhu
Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Jo Ruke 
Main Samandar ko Bhi Sau Saal Ka Pyasa Samjhu
Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Me
Raunak-e-Bazm Kisi Ko Jo Uss Ke Ilaawa Samjhu
Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
Main Usse Chaand Saa,Yaa Chaand Ko Uss Sa Samjhon

Mera Dil Deta Hai Sada Tum Pass Aa Jao

'Mera Dil Deta Hai Sada Tum Pass Aa Jao. 
Tang Karti Hai Yeh Pagal Hawa Tum Pass Aa Jao. 
Mujhe Tumse Door Rehne Ka Shoq Bhi Nahi. 
Dekho Meri Hai Yeh Dua Tum Pass Aa Jao. 
Kar Do Mujhe Apne Ishq Mein Fanaa. 
Nahi Karon Ga Mein Mana Tum Pass Aa Jao. 
Mere Dil Ka Haal Tum Ko Hai Maloom. 
Mere Dil Se Dil Milane Ko Tum Pass Aa Jao. 
Mujhe Kitna Haq Hai Teri Zaat Pe Hamdam. 
Ek Bar Batane Ko Mere Pass Aa Jao'

Kash hum bata pate

Kash hum bata pate,
Kisi kadar mohobbat hai,
Kisi kadar jarurat hai.
.
Kash hum bata pate,
Jaan ye tmhari hai.
Har khusi tumhari hai.
Dil lagi tumhi se hai.
Zindagi tumhi se hai.
.
Kash hum bata pate.
Ruh ki jarurat ho.
Dil ki ibadat ho.
Meri tum mohobbat ho.
.
Kash hum bata pate.
Meri aarju tum ho.
Meri justju tum ho.
.
Kash hum bata pate.
Sirf meri tum mohobbat ho.
Sirf tumko chaha hai.
Sirf tum hi chahat ho.
.
Kash hum bata pate..

jaaney ab woh kaisa ho ga..

'Kaafi arsa beet gya hay 
jany ab wo kaisa hoga. 
Waqt ki sari karwi batein. 
Chup chup gum sum sehta hoga 
ab bhe bheegi barish mein wo 
bin chatri k chalta hoga 
mujh sey bichrey arsa beeta.. 
Ab wo kis say larta hoga. 
Acha tha jo saath hi rehtay. 
Baad mein us ney socha hoga. 
Apney dil ki saari batain 
khud sey khud hi kehta ho ga. 
Mujh sey bichrey arsa beeta 
jaaney ab woh kaisa ho ga..'

Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo

Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo,
Yeh Waqt Ruk Jaye Is Lamhay Ko Thaam Lo.
Teri Aankhon Mein Jhalak Hi Aesi Mere Pyar Ki,
Saahil Pe Jesey Dhalti Haseen Shaam Ho.
Lafzon Se Hota Nahi Izhaar Humse Pyar Ka,
Bas Meri Aankhon Me Dekh Kar Khud Ko Pehchaan Lo.
Jesey Tarasta Hai Sehra Shabnam Ke Choonay Ko,
Kabhi Wese RAB Se Tum Bhi Mujhe Maang Lo...

Kabhi yaad aye to pochna

Kabhi yaad aye to pochna
Zara apni khulwat-e-sham se
Kisey ishq tha teri zaat se
Kise pyar tha tere naam se
Zara yad kar kay wo kon tha
Jo kabhi tujhe bhi azeez tha
Wo jo mar mita tere nam pe
Wo jo jee utha tere nam se
Hamain berukhi ka nahi gila
Kay yehi wafaoan ka hai sila
Magar aisa jurm tha kon sa
Gaye hum dua-o-salam se
Na kabhi visaal ki chah ki
Na kabhi firaq main ahh ki
Kay mera tarika-ebandagi
Hai juda tareek-e-emam se...!!!

Main nahi hun apne wajood me

Main nahi hun apne wajood me
mujhe jane kisne chura liya,
Mere saath rehta hai ek shakhs
Koi jadoo usne chala diya,
Meri rooh me wo samaa gaya
mujhe ishq karna sikha diya,
Meri zindagi wo ban gaya mujhe
jeena usne sikha diya,
Main to khud se bhi thi na
aashna mujhe mujhse usne mila diya,
Meri zindagi ko badal diya mujhe
khush naseeb bana diya..

Ye zamane ki WAFAEN mere kaam ki nahi

Ye zamane ki WAFAEN mere kaam ki nahi,
Mujhe teri WAFA chahiye kisi aam ki nahi,
Teri to ek muskurahat bhi anmol hai,
Ye tamam muskurahaten kisi kaam ki nahi,
Mujhe gham hai to tery chin jane ka hai,
Parwah mujh per lage ilzaam ki nahi,
Mere haath dekh kar najumi ye bola,
Bohat si chahaten tere liye hain baqi lekin…?
Tere haath mai koi bhi lakeer uske naam ki nahi….

Main Khud Main Doob Jata Hoon

Nahin Hota Kabhi Jo Rabta Us Se Mera 'MOHSIN'
Main Khud Main Doob Jata Hoon, Woh Mujh Ko Mujh Main Milta Hai

Woh Reh Na Paye Ik Pal Bhi Mere Bina

Woh Reh Na Paye Ik Pal Bhi Mere Bina,
Aye Khuda Tu Usko Meri aadat Si Karde,
Itna Toot K Chahun Main Usko,
K Meri Chahat Ko Usko Ibadat Si Karde,
Koi Chu Na Paye Apne Khayalat Mein B Usko,
Har Ik K Zehn Mein Uski hifazat Si Karde,
Band Aankh Mein Bhi Dekh Paon Main Usko,
Meri Nazar Ko Aisi Ijazat Si Karde,
Rakhun Gi Khayal Uska UMer Bhar K Liyee,,,,
Bas Ab Woh Apne Apko Meri Amanat Karde..

Uski Nazron Ka Kamal Na Puch,

Uski Nazron Ka Kamal Na Puch,
Ab Jo Hua Hai Mera Haal, Na Puch,
Hogayi Uskay Samnay Zubaan Band Meri,
Phir Kiyaa Kya Usne Mujhse Sawal, Na Puch,
Milta Hai Mujhe Har Roz Khuwab Mein,
Usay Hai Mera Kitna Khayaal, Na Puch,
Tere Sang Jo Waqt Guzara Maloom Nahi,
Judai Mein Jo Guzara Woh Saal, Na Puch,
Tajir Toh HUn Main Muhabbat Ka Magar,
HUa Kis Tarah Main Kangaal, Na Puch....!!!

Main Khud Ko Bhool Jata Hoon

Nazar Jub Tum Se Milti Hai Main Khud Ko Bhool Jata Hoon,
Bas Ek Dharkan Dharakti Hai, Main Khud Ko Bhool Jata Hon,
Tumhain Milne Se Pehle Main Bohut Sajta Sanwarta Hon,
Magar Jub Tum Sanwarti Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hon,
Main Aksar Kitabon Pe Tera Hi Naam Likhta Hon,
Magar Kuch Tum Jo Likhti Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hon,
Main Aksar Yehi Kehta Hon, Main Tum Say Pyar Karta Hon,
Magar Jub Tum Yeh Kehti Ho Main Duniya Bhool Jata Hon

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll