Chor gaya

Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya

Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya

Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya

Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya

MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin,  kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai

Haal us Said ka,  sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai

Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?

Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!

Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai

‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll