Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai

Kisi ka dard ho  dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai


Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate haiN
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai


Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiN
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai


Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai


Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karuN
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai

Jurm E inkaar ki sazaa hi de

Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii
Sach hai yaro khataa hamiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma hamiN se huii

Ham se pehle zameen E shehr E wafa
Khaak thi, keemiyaa hamiN se huii

Kaun uThata shab E firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa hamiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa hamiN se huii

Sitam E naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua hamiN se huii

Sa’yi – tajdeed E dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha hamiN se huii

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll