Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai



 Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le meiN yeh karishma na barq meiN ye ada
koee bataao K woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

RagoN meiN dauRte phirne ke ham naheeN qaayal
Jab aaNkh hi se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar meiN ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll