Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll