tum Meri Ankh K Tewar Na Bhula Paoge

Tum Meri Ankh K Tewar Na Bhula Paoge
Ankahi Bat Ko Samjhoge To Yad Aunga

Ham Ne Khushyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikathe Dekhe
Safah-E-Zist Ko Paltoge To Yad Aunga

Isi Andaz Mein Hote The Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likhoge To Yad Aunga

Sard Raton K Mahkate Hue Sannaton Mein
Jab Kisi Phul Ko Chumoge To Yad Aunga

Ab Tere Ashk Main Honthon Se Chura Leta Hun
Hath Se Khud Inhen Ponchoge To Yad Aunga

Shal Pahnayega Ab Kaun Decembar Mein Tumhen
Barishon Mein Kabhi Bhigo Ge To Yad Aunga

Aj Tum Mahfil-E-Yaran Pe Ho Magrur Bahut
Jab Kabhi Tut K Bikhroge To Yad Aunga

Hadse Ayenge Jiwan Mein To Tum Ho K Nidhal
Kisi Diwar Ko Thamoge To Yad Aunga

Is Mein Shamil Hai Meri Bakht Ki Tariki Bhi
Tum Siyah Rang Jo Pahnoge To Yad Aunga

Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jayega

Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phul Ka Hai Phul Kidhar Jayega

Ham To Samjhe The K Ek Zakhm Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi K Rag-E-Jan Main Utar Jayega

Wo Hawaon Ki Tarah Khanabajan Phirta Hai
Ek Jhonka Hai Jo Ayega Guzar Jayega

Wo Jab Ayega To Phir Us Ki Rafaqat K Liye
Mausam-E-Gul Mere Angan Main Thahar Jayega

Akhir Wo Bhi Kahin Ret Pe Baithi Hogi
Tera Ye Pyar Bhi Dariya Hai Utar Jayega

Kuch Aise Ghao Bhi Hote Hain

Kuch Aise Ghao Bhi Hote Hain
Jinhen Zakhmi Ap Nahi Dhote
Bin Roye Huye Ansuon Ki Tarah
Sine Main Chupa K Rakhte Hain
aur sari umr nahi rote

Ninden bhi muhaiya hoti hain
Sapne Bhi Dur Nahi Hote
Kyun Phir Bhi Jagte Rahte Hain
kyun sari rat nahi sote

Ab kis se kahen ai jan-e-vafa
Ye Ahal-E-Vafa Kis Ag Main Jalte Rahte Hain
Kyun Bujh K Rakh Nahi Hote

Tera Gham Apni Jaga Duniya Ke Gham Apni Jaga

Tera Gham Apni Jaga Duniya Ke Gham Apni Jaga
Phir Bhi Apne Ehad Per Qaaim Hum Apni Jaga

Kia Karain Ye Dil Kisi Ki Na-Sihaa Sunta Hee Nahi
Aap Ne Jo Kuch Kahaa Ay Mohatram, Apni Jaga

Hum Mohad Hain Buuton Ke Poojnay Waalay Nahi
Per Khuda Lagti Kaheen Tou Wo Sanam Apni Jaga

Yaar-e-BeParwaa ! Kubhi Hum Ne Koi Shikwaa Kia ?
Haan Magar In Na-Sapaas Aankhon Ka Nam Apni Jaga

Mehfil-e-Jaanan Ho, Maqtal Ho Ke Maikhaana Faraz
Jis Jaga Jaayein Banaa Laitay Hain Hum Apni Jaga

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun



Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun

Sitam Ho K Ho Wada-E-Behijabi
Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun

Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko
K Main Ap Ka Samna Chahta Hun

Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-E-Mahfil
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahta Hun

Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun




تیرے عشق کی اِنتہا چاہتا ہوں
میری سادگی دیکھ کیا چاہتا ہوں

ستم ہو کہ ہو وعدئہ بے حجابی
کوئی بات صبر آزما چاہتا ہوں

یہ جنت مُبارک رہے زاہدوں کو
کہ میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں

ذرا سا تو دِل ہوں، مگر شوخ اِتنا
وہی لن ترانی سُنا چاہتا ہون

کوئی دم کا مہمان ہوں اے اہلِ محفل
چراغِ سحر ہوں، بجھا چاہتا ہوں

بھری بزم میں راز کی بات کہہ دی

بڑا بے ادب ہوں، سزا چاہتا ہوں

December Laut Aaya Hai

December Laut Aaya Hai
Tumhaaray Laut Aanay Ki.
Na’ee Ummeed Jaagi Hai

Abhi Pichhlay Baras Tum Nay
Meiray Seenay Pay Sar Rakh Kar..
Haya say munh chhupaaya tha..

Magar aprail aanay tak..
Tumhaari jheel aankhoon main..
Naya sapna samaaya tha..

Miray chhotay say aangan main…
Tumhain veh’shat si hoti thi..
Mujhay tum nay bataaya tha..

“Kisi Ki Qaid Main Rehna…
Mujhay Acha Naheen Lagta..
Main Ik Aazaad Panchhi Hoon”

Suna Hai Phir Say Tanha Ho..
Setambar K Maheenay Say..
Bohat Khaamosh Rehti Ho..

K Jis Ko Tum Nay Chaaha Tha..
Wafa K Naam Se Us Ko..
Bohat Veh’shat Si Hoti Thi..

“Wo Ik Aazaad Panchhi Tha..
Kisi Ki Qaid Main Rehna..
Usay Acha Na Lagta Tha…”

Suna Hai Mairay Aangan Ki..
Tumhain Ab Yaad Aati Hai…
Suna Hai Tum Pa’shaymaan Ho…

Chalo Phir Aisa Kartay Hain..
December Ka Maheena Hai…
Naya Aaghaaz Kartay Hain…

December Laut Aaya Hai…
Suno Ab Laut Aao Tum….

Itna Udaas

Sooraj Ki Tarah Doob Gaya … Mera Dil Bhi Aaj

Itna Udaas … Sham Ka Manzar Kabhi Na Tha

Is Qadar Barf Pari Sadmon Ki

Is Qadar Barf Pari Sadmon Ki
Jam Gaya Sabr Meri Ankhon Me

Me Jis Azaab Se Guzra Hoon

Ye Or Baat … Tere Roo Baroo Nahen Guzraa

Me Jis Azaab Se Guzra Hoon … Tu Nahen Guzra

Ay Raat Sony Dy Yun Tang Na Kia K

Ay Raat Sony Dy Yun Tang Na Kia Kr
Be’kaar Sawalon Mein Paband Na Kia Kr

Iss K Siwa or bhi Zamany K Kam Hain
Tu Mere Khiyalat Be Dhang Na Kia Kr

Duniya Mein Aur Log bhi Basty Hain Tanha
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr

Ay Raat Sony Dy Yun Tang Na kia kr
Mazboot hon, pr itna bhi nahi hon

Duniya k sabhi gham to mere sang na kia kr
Ay Raat Sony Dy, Yun Tang Na Kia Kar

Shidat se Yaaad aata hai

Is Baarish Kay Mausam Main Ajeeb Si Kashish Hai
Na Chahte Howay Bhi Koi Shidat Say Yaad Aata Ha

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll