Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Aik Yeh Bhi Zamana Hai Aik Woh Bhi Zamana Tha.

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.


Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha.

Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha.

Magar ab 'Chaye' peeta hun

Boht arsa hua ik din Bataya tha mujhe US ne. 
Banana kuch nahi aata! 
Agar Main kuch banati hun To bus "Chaye" banati hun. 
Peeo ge na ? 
0r Main is baat par muskurata hi raha tha! 
K banana kuch nahi aata Banati ho to bus "Chaye". 
Mujhe "Chaye" se uljhan hai Nahi peeta Nahi peeta. 
0r ab is baat ko guzre zamaney ho gaye kitne. 
Nahi maloom mujko k Wo kesi hai ? Kahan pe hai ? 
Magar ab 'Chaye' peeta hun. 
Barri kasrat se peeta hun. 
Barri hasrat se peeta hun..!!

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…

ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

musalmanon mein khun baqi nahin hai

mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai

safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai

ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai

namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta

Bura samjho unhain mujh say to aisa ho nahi sakta,
Kah main khud tou hoon Iqbal apnay nukta chinoon main..

Akal ayyaar hai, sau bhaiss bana leti ha

Akal ayyaar^ hai, sau bhaiss bana leti hai,
Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem..

[^ayyaar = clever]

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz,
Jis ko bhoolen woh sadaa yaad aye..

Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya

Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya,
Apni tasveer puraani se pata chalta hai..

Be-sabab zalzala aalam main nahin ata...

Be-sabab zalzala aalam main nahin ata,
Koi betaab teh-khaak tarrapta hoga..

Mohabbat kya ho akhir tum

Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharnay ke paani ka dilkash saaz hai koi,

Mujhe aksar yeh lagta hai mohabbat raaz hai koi,
Samajh se baala ik awaz hai koi,
Phir is raaz se parda uthaane ko,
Sabi ehsas ke dhaaron ko milaya maine,
Aur dheere se mohabbat se bass itna kaha,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Mohabbat kya ho akhir tum,
Kisi majnoon ka pagalpan,
Kisi farhaad ka taisha,
Kisi sassi ka sehraa ho,
Kisi punnu ki bechaini,
Kisi sohni ka gharra ho,
Junoon haizi ho tum,
Ya phir junoon haizi ki rahbar ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Batao na kisi mastaanay ki masti ho,
Kisi sufi ka sajda ho,
Kisi zahid ka taqwa ho,
Kisi bhale ke ghunghruu ho,
Kisi mufti ka fatwa ho,
Koi uljhan ho tum ya koi suljhi hui shay ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Kisi waris ki heer ho,
Kisi saif ki jheel ho,
Tum kis raste ki rahbar ho,
Be-nishan ho ya phir koi nishan-e-manzil ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Koi mai-khana ho tum,
Ya kisi mai-khane ka jaam ho,
Koi pathar ki murat ho,
Koi masjid ya mandir ho,
Kisi deewane ka raqs ho,
Ya phir mast dhamaal ho,
Andheri raat main jugnu,
Ya phir subah ka sitaara ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,

Kisi ki ankh ka paani ho,
Ya khush-rang kahani ho,
Kisi ki thandi aah ho,
Ya tum koi dilkash hansi ho,
Tapti dhoop main saya,
Ya phir december ki dhoop ho,
Mohabbat ka ho akhir tum,

Bohat socha tab mere dil se sadaa ayi,
Mohabbat dil pe ilhaam ki surat,
Bohat dheere se utarti hai,
Kahin andar panapti hai,
Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharne ke paani ka dilkash saaz hai koi,
Mohabbat deen hai ya phir tayaag hai koi,
Kisi kache gharre ka raaz hai koi..

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll