Phool sa khuch kalaam aur sahi

Phool sa khuch kalaam aur sahi
Ek ghazal uske naam aur sahi

Uski zulfen bahut ghaneri hein
Eik shab ka qayaalll aur sahi

Zindgi key udaas qissey me in
Eik ladki naam aur sahi

Kursiyon ko sunaiye ghazlen
Qatl ki ek shaam aur sahi

Kanpkapati hai raat seene mein
Zehr ka eik jaam aur sahi

Khuda ham ko aisy khudai na de

Khuda ham ko aisy khudai na de
Ke apne siwa khuch dikhai na de

Mujhe aisi jannat nahin chahiye
Jahan se madina dikhai na de

Mujhe apni chadar mein yun dhanp lo
Zamin aasman kuchh dikhai na de

main ashkon se naame Mohammad likhun
Qalam chheen Ie roshnai na de

Ghulami ko barkat samajhne lagen
Aseeron ko aisi rihai na de

Khuda aise ahsaaas ka naam hai
Rahe saamne aur dikhai na de

Angrai bhi woh lene na paye utha ke hath

Angrai bhi woh lene na paye utha ke hath
Dekha jo mujh ko chor diye muskura ke hath

Yeh bhi naya sitam hai hinna to lagaen gair
Aur iski dad chahein woh mujh ko dikha ke hath

Qasad! tere bayan se dil esa tehar gya
Goya kisi ne rakh dia sinay pe aa ke hath

Kuchy se tere uthain tou phir jaen kahan
Bethy hain ye tou dono jahan se utha ke hath

Dunya woh iska sagar myy yaad hai nazam
Munh phair ka idhar ko udhar ko barha ke hath

Hai ajeeb shahr ki zindagi

Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai
Kahin karobar si dophar kahin badmizaj si shaam hai

Kahan ab duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai

Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahin be gharaz use aapse koi kaam hai

Wo dilom mein aag lagaayega mein dilon ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khyal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai

Koi naghmadhoop key gaon sa koi naghma shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai

Wo ghazal walon ka usloob samajhte honge

Wo ghazal walon ka usloob samajhte honge
Chand kahte hein kise khoob samajhte honge

Itni milti hai miri ghazlon se sutat teri
Log tujh ko mira mehboob samjhte honge

Dekh kar phool key safhaatpe shabnamkuchh log
Mera ashkon bhara maktoob samajhte honge

Bhool kar apna zamana ye buzurgane jadeed
Aaj ke pyar ko mayoob samajhte honge

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha
Kishti ke musafir ne samandar nahin dekha

Bewaqt agar jaunga sab chonk padenge
Ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha

lis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
Aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha

Ye phool mujhe koi wirasat mein mile hein
Tumne mira kanton bhara bistar nahin dekha

Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala
Main mom hun usne mujhe chhoo kar nahin dekha

Muhababt kam nahi hoti

Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Zamana is k aagay aahni dewar ban jaye

Aur us ki haath ik talwaar ban jaye
Muhabbat dar nahi sakti Daranay se

Nahi mitti mitanay se
Muhabbat ki banti nahi zamanay se

Ye apni jaan de kar bhi kabhi bedam nahi hoti
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Kabhi ye heer ka joban kabhi ranjhay ki wanjili hai
Kabhi khaaro’n bhara rasta, Kabhi ye phool jangli hai

Kabhi sheeree’n ki betabi, kabhi farhaad ka taisha
ye kuch kuch shehed jesi hai, maza hai is mein sam jaisa

Junoo’n hai qais ka, laila ki ye waraftagi hai
Khudi ka bhaid hai is mein

Muhabbat be-khudi bhi hai
Muhabbat hai khuda jesi, khudaai is mein shaamil hai

Sitara mat kaho is ko, muhabbat maah-e-kaamil hai
Aur is ki lou kabhi madham nahi hoti.
Koi jitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh 
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KhaRe Woh 
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh 
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat 
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN 
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna 
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye 
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!

Chor gaya

Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya

Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya

Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya

Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya

MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin,  kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai

Haal us Said ka,  sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai

Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?

Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!

Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai

‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai

Kisi ka dard ho  dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai


Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate haiN
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai


Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiN
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai


Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai


Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karuN
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai

Jurm E inkaar ki sazaa hi de

Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii
Sach hai yaro khataa hamiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma hamiN se huii

Ham se pehle zameen E shehr E wafa
Khaak thi, keemiyaa hamiN se huii

Kaun uThata shab E firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa hamiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa hamiN se huii

Sitam E naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua hamiN se huii

Sa’yi – tajdeed E dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha hamiN se huii

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho

Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey
Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho

Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy
Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho

Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun
Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho

Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye
Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho

Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaii'ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
To kyaa hua jo ham se zammana badal gaya

Qadmon talay jo reit bichhi thi wo chal pari
Us ne churaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya

Ik sarkhashi ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan
Pardaa uthaa to saara tamasha badal gayaa

Hairat se saare lafz usey dekhte rahe
Baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya

Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Is ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gaya

Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha wo
Manzil kay paas aa ke jo rasta badal gaya

Qaayem kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
Aitabaar kho gayi kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asl mein saaya tha rang ka
Jis ne use jidhar say bhi dekha, badal gaya

Andar ke mausmoun ki khabar us ko ho gayi
Us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye
Wo muskuraya aur meri duniya badal gaya

Apni galii mein apna hi ghar dhundte hain log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gaya!

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn,

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do,

K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The.

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.

Cigrette Aur Tumhari Yaadein

Mein Cigrette Ko Hatheli Par
Ulat Kar Khali Karta Hoon

Phir Us Mein Daal Kr Yaadein
Tumhari Khoob Malta Hoon

Zara Sa Gham Milata Hoon
Hatheli Ko Ghumata Hoon

Basa Kr Tujh Ko Saanson Mein
Mein Phir Cigrette Banata Hoon

Lga Kr Apne Honton Se
Mohabbat Se Jalata Hoon

Tuje Sulgaa Ke Cigrette Mein
Mein Tere Kash Lagata Hoon

Dhuan Jab Mere Honton Se
Nikal Kar Raqs Krta Hai

Mere Chaaron Taraf Kamre Mein
Tera Aks Banta Hai

Main Us Se Baat Karta Hoon
Wo Mujh Se Baat Karta Hai

Yeh Lamha Baat Karne Ka Bada
Anmol Hota Hai

Teri Yaden Teri Batain
Bada Mahol Hota Hai...!!!!

Urdu Shayari, Urdu Poetry and Urdu Ghazals © 2014. All Rights Reserved | Powered by:Blogger

Designed by:Droflov3

Auto Scroll Stop Scroll